Wednesday, July 22, 2009

tamam shehr mein

tamam shehr mein jis ajnabi ka charcha hai
sabhi ki raaye hai, veh shaks mere jaisa hai
bulave aate hain kitne dinon se sehra ke
main kal ye logon se puchunga kis ko jana hai
kabhi khayal pe aata hai khel khatam hua
kabhi gumaan guzarta hai ek waqffa hai
suna hai tark-e-junoon tak puhnch gaye hain log
ye kaam achcha nahin par ma'al[natiza] achcha hai
ye chal-chalaav ke lamhe hain, ab toh sach bolo
jahan ne tumko ki tumne jahan ko badla hai
palat ke peeche nahin dekhta hun khauff se main
ki sang hote huye doston ko dekha hai

No comments:

Post a Comment

wel come