Wednesday, July 22, 2009

jo kehte hain

jo kehte hain kahin dariya nahin hai
suna unnse koi payasa nahin hai
diya le kar vahan hum ja rahe hain
jahan suraj kabhi dhalta nahin hai
najaane kyun hamen lagta hai aisa
zamin par aasman saaya nahin hai
thakan mehsuus ho ruk jaana chahen
safar mein mod veh aaya nahin hai
chalo ankhon mein phir se neend boyen
ki muddat se usse dekha nahin hai

No comments:

Post a Comment

wel come