Wednesday, July 22, 2009

tere aane ki khabar aate hi darr lagne laga

tere aane ki khabar aate hi darr lagne laga
gaiir ka lagta tha jo veh apna ghar lagne laga
kya harifon mein mere suraj bhi shamil ho gaya
zard patta raste ka kyun shajar lagne laga
yaad aana tha kisi ik nukrai[chandi jaisi ujwal] aawaz ka
phir se sanaton ka majma baam par lagne laga
main salamat hun magar ye khwab aankhein karbala
jo juda tanse hua, veh mera sar lagne laga
jaane kya uftaad[[museebat] padne ko hai mujh par doston
mautbhar logon ko main ab mautbhar lagne laga

No comments:

Post a Comment

wel come