Wednesday, July 22, 2009

ab waqt jo aane wala hai

ab waqt jo aane wala hai kis tarah guzarne wala hai
veh shakal toh kab se ojhal hai, yeh zakhm bhi bharne wala hai
duniya se bagawat karne ki, uss shaks se ummidein kaisi
duniya ke liye jo zinda hai, duniya se jo darne wala hai
aadam ki tarah se mile, kuch achche-sachche kaam kare
yeh ilm agar ho insan ko kab kaise marne wala hai
dariya ke kinare par itni yeh bheed yahi sunkar aayi
ik chand bina pairhan ke paani mein utarne wala hai

No comments:

Post a Comment

wel come