Friday, July 3, 2009

tujhe kya kahon main aye zindagi, tere ek pal ki khabar nahi


tujhe kya kahon main aye zindagi, tere ek pal ki khabar nahi
main yaqeen karoon bhi toh kis tarhan, teri shab ki koi sehar nahi
meri khawishon ka ye silsila hai kahan talak ye khabar nahi
ye safar saadi pe muheet hai, meri umar ek pehar nahi

jahan aagahi ke na jaal hoon, wahan wahshatoon ke zikar nahi
yahan aagahi bhi azab hai, tujhe aah ye bhi khabar nahi
main shumar-e-gham karoon kis tarah, mere pass aisa hunar nahi
mera aaj hai sitam aashna, mujhe kal se koi mafar nahi

jahan do ghadi ka sukoon mile, teri raah main woh shajar nahi
main thakan se choor hoon iss qadar, koi saaya hadh-e-nazar nahi
woh jo ashq-e-khoon se ho aashna, kahin aisa deeda-e-tar nahi
mere dil se badh ke jala ho jo, yahan koi aisa jigar nahi

teri kaj aadai sitam gari, koi ye bataye kidhar nahi
toh hai baywaffaai ki dastaan, gila tujhse koi magar nahi
tujhe chodna hai toh chod de, mujhe mout ka koi dar nahi
woh andher nagri hai gar koi, ye bhi rahaton ka dagar nahi.....!!

No comments:

Post a Comment

wel come