Friday, July 24, 2009

tujhko kya khabar


iss dil-e-majboor ki fariyaad tujhko kya khabar
kya hai armaan-e-dil-e-nashaad tujhko kya khabar
umar bhar hum kis tarah tadpe hain tere pyaar mein
kis tarah se hum huye barbaad tujhko kya khabar
kam se kam itna hua viraniyan toh mit gayin
teri yaadon se hai dil aabad tujhko kya khabar
muskurahat aur labon mein ab koi rishta nahin
qaid-e-gham se dil nahin aazad tujhko kya khabar
ab hamare dil ke gham mein koi gunjaish nahin
hai harik goshe mein teri yaad tujhko kya khabar
'arzoo' ke dil ko milta hai ghazal keh kar sukoon
usska dil deta hai ussko daad tujhko kya khabar

No comments:

Post a Comment

wel come