Thursday, July 16, 2009

unknown

dil ke bazaar mein daulat nahi dekhi jaati
pyar ho jaaye toh surat nahi dekhi jaati
ik tabssum pe do alam ko nichawar kar doon
maal achcha ho toh kimat nahi dekhi jaati

ye ishq wale jaffa nahi karte
husn wale waffa nahi karte
arre jaane kya ho gaya hasino ko
ye kisi ka bhala nahi karte

maine dil diya pyar ki hadh thi
maine jaan di aitbaar ki hadh thi
arre marr gaye hum khuli rahi aankhein
ye mere intizaar ki hadh thi

teri surat nigahon mein phirti rahe
aur ishq tera sataaye toh main kya karoon

arre dil ek mandir hai, aap muurat hain
aap kitne khubsurat hain

arre chaiin bin dekhe unnko na aaye
aur dekhun toh dekha na jaaye
beech zulfon ke voh ruuh-e-roshan
jaise ganga mein suraj nahaye
unnki zulfen aur haath mera
saanp se khelta hai sapera
rukh pe zulfon ka saya ghanera
shaam ki godh mein hai savera

tujhko takne lage, tu jo aaye masjid mein
namaz sab ne kaza ki teri adaa ke liye

kabhi toh bazm-e-tassawur mein tum chale aate
na karte baat magar dekh toh liya karte

arre jis ne dekhe nain matwale tere
mast bekhud ho na ho to kya kare
ek nazar jis par pade kehta phire
teri surat, teri surat, teri surat .......



aap se ek baat kehni hai
chodiye khaiir koi baat nahi

bas ab toh saamne aaja maine maan liya
azal se le ke abad tak tera jawab nahi

arre dekh hai kitni hasin phool pe shabnam reh ke
jaise aa jaaye tere rukh pe pasina beh ke

kal choudvein ki raat thi shab_bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera
hum bhi wahan mojuud thay humse bhi vo pocha kiye
hum chup rahe hum hass diye arre manzoor tha parda tera

teri surat nigahon mein phirti rahi
ishq tera sataye toh main kya karun
mere khamosh rehse se parda_nashin
tujhpe ilzaam aaye toh main kya karoon

husn aur ishq dono mein tafreeq hai
kya karoon mera dono pe imaan hai
ke gar khuda rooth jaaye toh sajde karoon
gar sanam rooth jaaye toh main kya karoon

arre jo ulajhte gaaye fasane mein
raaz khulta gaya fasane mein
tune tinke samajh ke phoonk diye
meri duniya thi aashiyaane mein


maine khaak-e-nasheman ko bosay diye
aur keh keh ke dil ko ye samjha diya
ke aashiyana banana mera kaam tha
koi bijli giraye toh main kya karoon

shouq peene ka mujhko zyada na tha
tark-e-tauba ka koi irada na tha
aur mujhpe tohmat na rakh mein sharabi nahi
vo nazar se pilaye toh main kya karoon

fasl-e-gul sharaab pee lijiye, sharm kaisi janaab pee lijiye
aur jo piiye chupp ke vo munafiq hai, betakalluf sharab pee lijiye
aagay chal kar hisaab hona hai iss liye betakalluf pee lijiye

aur jannat jo mile la kar maikhane mein rakh dena
aur kausar ko mere chotte se paimane mein rakh dena
mayyat na meri ja kar virane mein rakh dena
balki paimano mein dafna kar maikhane mein rakh dena
allah mera ik kaam aur karna

ke saaqi saqi dar-e-maekhana abhi bandh na karna
shayad mujhe zannat ki hawa raas na aaye

insaan mehed se laga kar lehed tak
kabhi insaan ki khwahish poori nahi hoti


smaayeen ek baat keh doon sun le ke
insaan jab dua mangta hai toh do tarah ki
ya duniya ke liye mangega ya aakhirat ke liye

maine jo duniya ke liye manga maine
aap ke aagay pesh kar diya
taaj-o-takht-o-hakumat nahi mangta
deen-o-duniya ki sarwat nahi mangta
mere saqi main daulat nahi mangta
bal ke saqi... saqi mera ek kaam kar
maikhana mere naam kar

ab aap ye suniye ke main sharabi hoon
maine aakhirat ke liye kya maanga

ye srukh surkh botlen jo hain sharab ki
raaten hain bandh inn mein hamare shabaab ki
ae allah tujhse meri dua ye hi hai
baad marne ke jo koi meri qabar ko dekhe
vo qabar na kahe balki kahe ke hai bhatti sharab ki

shaksasta haal hai duniya ke bhi sataaye hain
tere sawal ka yarab jawab dete hain
barooz-e-hashar hai itni bhi jald baazi kya
zara sharab toh pee lein hisaab dete hain

agar khaye waiz ne angoor toh mein nesha mein kah dunga
ae allah ye sharaab ki goliyan khaate thay hum sagar se peete thay

khaali hai abhi jaam mein kuch raha hoon
ae gardish-e-ayyam mein kuch raha hoon
pehle bari raghbat thi tere naam se mujhko
ab sun ke tera naam main kuch soch raha hoon
saqi tujhe kuch thodi si takleef to hogi
sagar ko zara thaam mein kuch soch raha hoon

kya soch raha hoon..

kal raat maekade mein ajab hadsa hua
zahid sharab pee gaya mere hisaab mein

dekha jo husn-e-yaar tabiyat machal gayi
aankhon ka tha qusoor churi dil pe chal gayi
peene se kar chuka tha mein tauba magar
badal ka rang dekh ke niyyat badal gayi

rang mein aaj mujhe hosh surba de saaqi
phool ka bhar ke katora mujhe la de saqi
mein pilaon tujhe tu mujh ko pila de saqi
ho mujhe panj-e-tan-e-paak ki ulfat ka khumar
paanch piyale mujhe gin gin ke pila de saqi
mein gar koi fail karoon pee ke jo shariyat ke khilaf
phir toh beshak mujhe sooli pe chadha de saqi
arre muda'aa dil mein jo hai wohi zabaan se nikle
jo lad_khada ke giroon muh se ya-ali nikle

ae allah teri rehmat ki kasam, teri muhbbat ki kasam
teri inayat ki kasam, teri shifaat ki kasam
badi kasam hai habib-e-kudha ki kasam
shab-e-hijra ki kasam, kaatil-e-bejaan ki kasam
nargisi ankhon ki kasam, jalwa-e-jana ki kasam
husn-e-yusuf ki kasam, ishq-e-zulekha ki kasam
yaad-e-bazaa ki kasam, dam-e-eesa ki kasam
haybat-e-musa ki kasam, bazu-e-haidar ki kasam
halk-e-asghar ki kasam, chadar-e-zenab ki kasam

main shraabi ....

mansur ne toh sooli pe khud ko chada ke pii
tabrez ne bhi khaal ko apni khincha ke pee
sarmad jo thay vo masti mein sar ko kata ke pee
yusuf ne apna husn ka jalwa dikha ke pii
ayub ne bhi sabr ki hadh ko mita ke pee
musa ne koh-o-toor ko surma bana ke pee
eesa ne qamb-e-izni se murde jaga ke pee
akbar ne apni saari jawani luta kar pee
asghar ne sookhe halq par bas teer kha kar pee
qasim ne miserah ki ladiyan kata ke pee
abbas ne toh darya pe shamein kata ke pee
shabbir ne namaaz mein sar ko kata ke pee


sung by nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come