Thursday, July 16, 2009

unknown

baal unke aariz-e-purnoor par aane lage
chashma-e-khurshid par bhi saanp lehrane lage
jab masiha dushman-e-jaan ho toh ho kyun_kar ilaaj
kaun rehbar ho mera jab khizar behkaane lage
ishq mein duur ye uljhan bhi nahi kar sakte

be'aas dono ho gaye qaatil ke saamne
dil mere aagay roa diya mein dil ke saamne

gareban ke taaron ko suljha raha hun
naveed-e-junoon hosh mein aa raha hun

kuch hosh bhi hai dast-e-junoon dekh kya hua
daman tak aa gaya hai gareban phata hua

mein nazar se pii raha tha toh ye dil ne bad_dua di
tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pohnche

jo naqaab-e-rukh utha di toh ye qaid bhi laga di
uthe har nigah lekin koi baam tak na pohnche

na ye hasrat hai ab dil mein ke beda paar ho jaaye
na ye hasrat ke tu rusva sar-e-nazaar ho jaaye
na ye hasrat ke tujhse wasl ka iqraar ho jaaye
karam itna sar-e-mehfil meri sarkar ho jaye
idhar sajde mein sar jaaye udhar deedar ho jaaye

tajassus mein teri har shai pe yun nazaren jamata hun
najaane kaun si shai mein tera deedar ho jaaye

mandir mein hun masjid mein kaabe mein kaleesa mein
laila ki adaaon mein majnu ki waffaon mein
farhaad ki chahat mein shree ki muhbbat mein
jamshed ke piyale mein iss chaand ke haale mein
quran ke paaron mein darya ki rawani mein

fanaa itna toh ho jaaon mein teri zaat-e-aali mein
main jab chahoon jahan chahoon tera deedar ho jaaye

agar teer-e-nigah-e-naaz dil ke paar ho jaaye
agar mehshar bhi uthne ke liye tayyar ho jaaye
agar isse bhi badtar apna haal-e-zaar ho jaaye
jo hona hai so ho jaaye magar deedar ho jaaye

tera aastan toh na mil saka teri rehguzar ki zamiin sahi
mujhe sar patakne se kaam hai jo wahan nahi toh yahin sahi

ye bhi ik tarz-e-ibadat hai ibadat kijiye
muskurate huye chehron ki tilawat kijiye

jitna pooja hai tumhen dil mein bitha kar humne
itni pooja toh brahman bhi nahi kar sakte

mein ne pooja hai tujhe apne khuda ki maanid
baat tujhse jo ki hai toh dua ki maanid

dikhla ke jhalak tum chupp hi gaye
jii bhar ke nazara ho na saka
ik baar hua deedar hamen
lekin vo dobara ho na saka
kuch aansu thay kuch aahen thi
kuch dard-o-alam ke qisse thay

tum humse khiche aur jitna khiche
utni hi mohabbat badhti gayi

miyan tumne toh kinara kar hi liya
par humse kinara ho na saka

tum se shikva nahi iss baat pe hairat hai mujhe
jo kiya tune wo dushman bhi nahi kar sakte

sung by ustand nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come