Thursday, July 16, 2009

unknown

mujh mein ye aib hai aashiq bhi hun saudai bhi
hun main ye wasf hai qatil bhi hai harjaai bhi

voh mere saamne baitha tha ghaiir ko le ke
raat ke waqt mai piye saath raqeeb ko liye

kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko
najane kaise khabar ho gayi zamane ko

suna hai ghaiir ki mehfil mein tum na jaoge
kaho toh aaj saja loon gharib khane ko


padhi namaaz janaze ki meri ghaiiron ne
marre thay jinke liye vo rahe wazoo karte

marne wala qabar mein kya chaiin paaye baad-e-dafan
maut ne duniya se dono rukh dikhaye baad-e-dafan
muthiyon mein khaak le kar dost aaye baad-e-dafan
zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage... kya

ki daal ke mitti vo mujhpe, mitti mein mila ke chal diye

aadmi! aadmi ka zism kya hai jis pe shaida hai jahan
ek matti ki imarat ek matti ka makan
khuun ka dara bana hai een't jis mein haddiyan
chand saanson par khada hai ye khayali aasman
maut ki purzoor aandhi jab isse takrayegi
ye imarat toot ke phir khaak mein mil jayegi

ye jo kuch dekhta hai toofar-e-bekhwab-e-hasti hai
takhayyur ke karishme hai bulandi hai na pasti hai
ajab duniya-e-hairat aalam-e daur-e-ghariba hai
ke virane ka virana hai ke basti ki basti hai
vahi hum hai ke kabhi jo raat din phoolon mein tulte thay
vahi hum hai ke turbat chaar phoolon ko tarasti hai

kisi ke muh se na nikla hamare dafn ke waqt
ke inn pe khaak na daalo ye hain nahaye huye

ussne mujhe paida kiya toh apni surat ka kiya paida
phir usske baad vo khud dekh kar khud ho gaya shaida
farishton ne kiya aflaak par dekho mujhe sajda
mere sar par jabeen-o-jailo ka taj rakha tha
na samjho khaak ka putla binaye dojahaan mein hun

voh fakhr-e-laila mein rashk-e-majnu
ke yaar mujh mein main yaar mein hun
voh mujhpe shaida mein usspe maftoo
ke yaar mujhe mien main yaar mein hun


main chala mandir ki jaanib di brahman ne sada
jaane waale aa idhar dekh phir bhooka makaan
main chala masjid ki jaanib di muazzan ne sada
jaane wale aa idhar dekh maula ka maqaam

mein kidhar jaoon ajab hai yeh tera dhanda

gharaz issi kashmakash mein meri zindagi guzri
ab baad marne ke meri mayyat pe laga hai mela
koi kehta hai ke lakdi se jalao issko
koi kehta hai ke matti mein dabao issko

ae Allah ! gharaz ye sab ka mansha hai ke duniya se mitao issko
aur humko vo matti mein daba ke chal diye


sung by ustad nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come