Thursday, July 16, 2009

unknown

dil le ke mukar jate hain voh, ye unnki shararat theek nahi
dil todna jinnki aadat ho, aison se muhabbat theek nahi
Allah bachaye humko toh, uss buut ki bahane_baazi se
kal mood nahi tha milne ka, aur aaj tabiyat theek nahi
dil jala kar mera muskurate hain voh

unnko aata hai pyar par gussa
mujhko gusse pe pyar aata hai

hass ke voh bazm mein muh pher liya karte hain
ye waffaon ka sila mujhko diya karte hain

iss tarah vo sitam mujhpe dhaate rahe
tod kar dil mera muskurate rahe

baar baar unnko aazmaye kaun
husn walon ke naaz uthaye kaun

chahne walo se apne muh mod'na
unnki aadat hai dil todna

humnasheen husn walo ko
kya kahun dil jalane walo ko

qaatil meri hasrat teri shararat nahi jaati
par jati hai insaan mein jo aadat nahi jaati

unnko aadat hai bhool jaane ki
apni aadat se kab baaz aate hai voh

husn ko benaqab dekha hai, aarzuon ka khwab dekha hai
aur bhi kuch ho ishq mein shayad, maine bas iztarab dekha hai
pehlo-e-ghaiir mein arre tauba, kis qayamat ka khwab dekha hai

utho gale se laga lo mite gila dil ka
zara si der mein hota hai faisla dil ka
pehlo-e-ghaiir mein muskurata hai
daba ke tod diya usne aapla dil ka

khoon-e-dil mera kar ke bade shauq se
apne haatho pe mahdni lagate hain voh

hum toh tinke chun rahe thay aashiane ke liye
aap se kis ne kaha bijli girane ke liye
aap thak jayeinge mahndi peeste
khoon haazir hai hathali per lagane ke liye

pooch lete hain har raaz mujhse mera
mujhse har baat apni chupate hain voh

log reh jaate hain apna dil tham kar
jab bhi aankhon mein kajal lagate hain voh

pyar mujhse jataa kar satate hain voh
ghaiir ke saath ab aate jaate hain voh

jab main kehta hun dil apna de do mujhe
hass ke apna angutha dikhate hain woh

jaise sadiq se unko muhabbat nahi
apne sadiq ko aise satatay hein woh...


sung by ustand nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come