Thursday, July 16, 2009

unknown

hamen talti hai khanjar haath mein hai tan ke baithe hain
kisi se aaj bigde hai jo yun ban-than ke baithe hain

bohot roya hoon main jab se ye maine khwaab dekha hai
ke voh bikhrake gesu saamne dushman ke baithe hain

har sitam jer-jafaa gawara hai
itna kehdo ke tu hamara hai

tumne bhi tegh khainch li
aur maine bhi sar jhuka liya

mashghala khuub hai furqat mein behelne ke liye
sir hai dhulne ke liye haath masalne ke liye

gham ki diwaar khadi rehti hai dil ke andar
mere armaan tadpte hain nikale ke liye

teer se seena mera chaidh ke yun kehne lage
raah kardi tere armaan nikale ke liye

khat mein likha aap ne tha vaada-e-farda galat
aap ki tehreer ka imla galat insha galat
jab pate ki main sunata hun toh kehte hai galat kehta hai tu
keh diya maine bhi bas bethe raho... kaisa galat!

har sitam tera sehta hun, dekha nahi
mein bhi insaan hun tune socha nahi

mera maqaam arsh tha lekin ab farsh hai
kitni bulandiyon se giraya gaya hun main

tamannaon mein uljhaya gaya hun
khilone de ke behlaya gaya hun

tere hone ka main izhaar hun
main tamashai nahi didar hun

tera saudai hun tera sauda nahi
apne aashiq ko tune kharida nahi

saari duniya mujhe kehti tera saudai hai
ab mera hosh main aana teri ruswai hai

jaan de di mohbbat mein jis ke liye
meri mayyat pe vo shaks aaya nahi

ek din misl-e-sabaa waqt-e-sahar
shahr-e-khamosha mein tha unnka guzar

nigah pohche jo meri qabar par
naaz se daman bacha kar chal diye

meri mayyat pe wo shaks aaya nahi
jaan de di mohbbat mein jiske liye
meri mayyat pe vo shakhs aaya nahi

sheesha toota hua jisne dekha nahi
mera toota hua dil vo samjhega kiya

dil ki bisaat kya thi nigah-e-jamaal mein
ek aaiina tha toot gaya dekh bhaal mein

kitna bedard sadiq wo insaan tha
meri barbaadiyon pe jo roya nahi...


sung by ustad nusrat fateh ali khan

No comments:

Post a Comment

wel come