Monday, July 13, 2009

waseem barelvi ki shayyiri

usolon pe jahan aanch aaye takraana zaruri hai
jo zinda ho toh phir zinda nazar aana zaruri hai
nayi umron ki khud-mukhtiyariyon ko kaun samjhaye
kahan se bach ke chalna hai kahan jana zaruri hai
thake haare parinde jab basere ke liye lauten
saliqaamand shaakhon ka lachak jana zaruri hai
bohat bebaak aankhon mein talluq tik nahi pata
muhabat mein kashish rakhne ko sharmaana zaruri hai
saliqa hi nahi shayad usse mehsuus karane ka
jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaruri hai
mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki iss ke baad bhi duniya mein kuch pana zaruri hai


No comments:

Post a Comment

wel come