Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kuch bhi ayaan-nihaan[saamne-gupt] na tha, koi zamaan-makaan na tha
der thi ek nigah ki phir ye jahan jahan na tha
saz vo katre katre mein soz vo zarre-zarre mein
yaad teri kise na thi dard tera kahan na tha
ishq ki aazmishein aur fizaaon mein hui
paanv tale zamiin na thi sar pa’ ye aasman na tha
soz-e-nihaan mein vo qarar qalb-e-tapaan mein vo safa[pavitar]
shoal toh tha tadap na thi aag toh thi dhuwan na tha
ishq harim-e-husn mein apne sahare reh gaya
sabr ka bhi pata na tha hosh ka bhi nishaan na tha
kiske hawas se baza kaun tha apne hosh mein
waqt-e-bayan koi mayal-e-dastan na tha
dekh faza-e-dahar ko kaif-adam se bhar diya
ae dil-e-dard-aashna mit ke bhi main kahan na tha
jalwa-e-taabazma kayal-e-ishq ho gaya
thin a sada-e-alzahar[darr ki pukar] nara-e-alamaan[call for safty] na tha
ek ko ek ki khabar manzil-e-ishq mein na thi
koi bhi ahl-e-karwan shamil-e-karwan na tha
gaflat-e-husn jag uthi aur zaban-e-ishq par
aah na thi fugan na tha naara-e-almaan na tha
khilvatiyaz-e-raaz se haal-e-vasal-e-yaar puuch
husn bhi benaqab tha ishq bhi narmiyaan na tha
ab na vo purshishe qaram ab na vo chashm-e-aashna
shikva-e-ishq bartaraf tumse toh ye gumaan na tha
shikva-e-darguzarnuma kyun hai ki husn-ishq se
itna toh badguman na tha itna toh sargraan na tha
teri khushi ki yaad rakh teri khushi ki bhool ja
tujhse zara bhi badguman aalm-e-raftgaan na tha
sabr-o-sukoon ke raaz kuch baton mein khool gaye magar
ishq ko bhi khushi na thi husn bhi shadman na tha
phir bhi sukoon-e-ishq par aankh bhar aayi barha
go gham-e-hizr bhi ‘firaq kuch gham-e-zafindan na tha


No comments:

Post a Comment

wel come