Thursday, July 23, 2009

zamiin daman kashan hai

zamiin daman kashan hai ab jiyan se
issi baaees hai nisbat aasman se
bohat musroof ho tum, waqt kam hai
sunaate hain kahani darmiyan se
hawa ne kar diya be samt phir se
juda kashti ko karke baadbaan se
musafir sab vahin ab tak khade hain
chale thay muddaton pehle jahan se
jo payse thay, sada payse rahenge
samandar dhak gaya rege-rawan se
badalte manzaron se aankh hairan
sada khaeef sukoot-e-bekran se

No comments:

Post a Comment

wel come