Sunday, August 23, 2009

mere hi lahu par

mere hi lahu par guzar auqaat karo ho
mujhse hi amiiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhi maat karo ho
ham khaaq_nashin tum sukhan_aaraai sar-e-baam
paas aa kar milo duur se kya baat karo ho
ham ko jo milaa hai vo tumhin se toh mila hai
hum aur bhula den tumhen kya baat karo ho
yun toh munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt pade hai toh madarat karo ho
na daman pe koi chiint na khanjar pe koi daag
tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho
bakne do 'aajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho

No comments:

Post a Comment

wel come