Sunday, August 23, 2009

kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye

meri soch hai adhoori mere lafz hai paraaye
veh ghazal kahan se laaon jo tumhen pasand aaye ..
mere pyar ke bharam ko mere dastan-e-gham ko
kai log sun ke roye kai log muskuraaye ..
mere paas kuch dinon se mera aaiina nahin hai
kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye ..
kahin raaste mein uss ne mera haath choo liya tha
toh kalaaiyon ke kangan kai roz khankhanaaye ..
meri yeh tamnna 'bedil' kabhi ho saki na poori
ki main rooth jaaon jab bhi mujhe aa ke vo manaaye ..

No comments:

Post a Comment

wel come