Sunday, August 23, 2009

har maslaa 'masal' se maslaa nahin jaata

har maslaa
'masal' se
maslaa nahin jaata
ho chaukhat pe sailaab
toh uss se lada nahin jaata

jab se suna
ki lakeeiron mein takdeer hai meri
mere haathon se
mera haath
mala nahin jaata

samandar mein mandir
kahin chhupa hai jaroor
bina juute utaare
uss mein utra nahin jaata

jab bhi sanwarti hain
bohat bhigadti hain julfein
kehin hain
kyun azad hamen rakha nahin jaata ?

mujhe hoti samjh
toh tumhen na batata ?
ki kuch hoti hai baatein
jinhen kaha nahin jaata !!

No comments:

Post a Comment

wel come