Sunday, August 23, 2009

meri nakaami

dil mein nakaam hasratein le kar
apne seene mein chahatein le kar
jaane kitni umange saath liye
jaane kitne hi khwab saath liye
apni manzil talaash karne ko
chal diye besabab usse paane
vaada ussne kiya tha milne ka
vo chali aayi mujhse milne; magar
apne dil mein dabaye pyar mera
usska milna bhi aisa milna tha
gaiir se jaise koi milta hai
sochta tha ki uss se mil ke sabhi
zakhm apne tamaam bhar lunga
dil ka har dard ab milta lunga
vo mera zakhm bhar na paayi koi
dard dil ka mita na paayi koi
darr lage hai samaj se ussko
jhoothe reeti-riwaaz se ussko
aaj samjha hun pyar ki aukaat
pyar darta hai duniyadaari se
main ye kehta hun tumse ae logo
darr hai dil mein samaj tumko
jhoothe reeti-riwaaz ka tumko
toh ye bhoole se pyar mat karna
kyunki dil tuut'te hain pyar bhare
aur ab kya sunaaun main tumko
main chala aaya apne khwab liye
apni nakaam hasratein le kar
ussko illzam bhi toh doon kaise
vo mera pyar hai; meri jaan hai
vo meri dhadkanon mein; meri saanson mein
mere dil mein basi rahegi sada
jaise khushboo basi hai phoolon mein

No comments:

Post a Comment

wel come