Wednesday, September 16, 2009

ik zara dil ke qariib aao toh kuch chaiin pade

ik zara dil ke qariib aao toh kuch chaiin pade
jaam ko jaam se takaraao toh kuch chaiin pade
baithe baithe toh har mauj se dil dahalega
badke tufan se takrao toh kuch chaiin pade
jii ulajhta hai nagma-e-rangiin sun kar
geet ek dard bhara gaao toh kuch chaiin pade
daag ke shair jawani mein bhale lagte hain
meer ki koi gazal gaao toh kuch chaiin pade
yaad-e-ayaan mein guzishtaan se ijaazat le kar
'tarz' kuch der ko soa jaao toh kuch chaiin pade

3 comments:

  1. baithe-baithe to har ik mauj se dil dahalega
    badh ke toofaan se takraao to kuchh chain padhe

    bahut khoob
    bahut aa`laa darje ka intkhaab payaa hai aapne
    umdaa ghazaloN se sajee aapki ye mehfil bahut shaandaar hai ....

    aur haaN...aapke blog par apni ghazal padh kr
    khushi bhi hui..aur hairaani bhi ...
    apnaa t`aaruf deiN...meharbaani hogi

    meri ghazal meiN ek jagah (sheikh) ki jagah
    (seekh) kareiN....pleeeeaaaase......

    ---MUFLIS---

    ReplyDelete
  2. nikaalaa mujh ko jannat se ....

    diyaa fir shauk jannnat kaa ye hairaani nahi jaati......

    bahut pyaaraa khyaal...khoobsorat tasweer ke saath.........

    aap kaun hain ...?
    aur aapkaa mail ID kyaa hai...?



    aap ne hamaari shaayri ko apne blog me jagah de rakhi hai dekh kar badaa achchhaa lagaa....

    ReplyDelete

wel come