Thursday, April 30, 2009

khalid mahmood ki shayyiri

purkhon ki tehzeeb se mehka basta peeche choot gaya
jaane kis vehshat mein ghar ka rasta peeche choot gaya
bachche meri ungli thaame peeche peeche chalte thay
phir voh aage daud gaye, main tanha peeche choot gaya
ahed-e-jawani roa roa kaata meer miyan sa haal hua
lekin unnke aage apna qissa peeche choot gaya
peeche mud kar dekhega toh aage badhna mushkil hai
maine kitni baar kaha tha,'dekha peeche choot gaya'
ek do baaten kahni hon toh kahan aasan hai
ab hum tum ko kya batlyen kya peeche choot gaya
sartaapa seraab thay 'khalid', chaaron jaanib dariya tha
pyaas mein jis dam shiddat aayi, darya peeche choot gaya

No comments:

Post a Comment

wel come