Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

shekh ne naakus ke sur mein jo khud hi taan li
phir toh yaaron ne bhajan gaane ki khul kar thaan li
muddaton qayam rahegi ab dilon mein garmiyan
maine photo le liya, ussne nazar pehchan li
roa rahe hain dost meri laash par be_ikhtiyar
ye nahin taryafat karte kisne isski jaan li
main toh injan ki gale baazi ka qayal ho gaya
reh gaye naghmen huda_khuvanon ke, aise taan li
hazrat-e-‘akbar’ isatkalaal[majbooti] ka hun motrif[man’ne wala]
ta_bamarg uss par rahe qayam jo dil mein thaan li


No comments:

Post a Comment

wel come