Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

aankhen mujhe talwon se vo milne nahin dete
arman mere dil ka nikalne nahin dete
khatir se teri yaad ko talne nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete
kis naaz se kehte hai ki vo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum toh hamen karwat bhi badalne nahin dete
parwanon ne faanus ko dekha toh ye bole
kyun humko jalaate ho ki jalne nahin dete
hairan hunk is tarah karun arz-e-tamnna
dushman ko toh pehlu se vo talne nahin dete
dil vo hai ki fariyaad se labrez hai har waqt
hum vo hain ke kuch muh se nikalne nahin dete
garmi-e-muhbbat mein vo hai aah se mane
pankha nafas-e-sard[thandi saans] ka jhalne nahin dete


No comments:

Post a Comment

wel come