Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

be_nalah-o-fariyad-o-fugaan[shikayat] reh nahin sakte
qahar iss pe ye hai isska sabab keh nahin sakte
amuzen hain tabiyat mein, magar uth nahi sakti
dariya hain mere dil mein, magar beh nahin sakte
patvaar shikast[toote huye] hai nahin taqat-e-tasmiim[powerto change]
hai naav mein suraakh magar keh nahin sakte
keh doge ki hai tuzurba iss baat ke bar_aks[ulta]
kyunkar ye kahen zulf-o-sitam she nahin sakte
izzat kabhi vo thi ki bhulaye se na bhuule
tehkiir[apmaan] ab aisi hai jise she nahin sakte


No comments:

Post a Comment

wel come