Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

marne ka tere gham mein irada bhi nahin hai
hai ishq magar, itna ziyada bhi nahin hai
hai yun ke ibaadat ki zaban aur hai koi
kaghaz mere takdeer ka sada bhi nahin hai
kyun dekhte rehte hain sitaron ki taraf hum
jab unnse mulaqat ka vaada bhi nahin hai
kyun raah ke manzar mein ulajh jaati hain ankhen
jab dil mein koi aur irada bhi nahin hai
kyun usski taraf dekh ke paaon nahin uthte
vo shaks hasiin itna ziayda bhi nahin hai
kis mod pe le aaya hamen hizr-e-musalsal
taa hadh-e-nigah wasl ka vaada bhi nahin hai
pathar ki tarah sard hai kyun aankh kisi ki
'amjad' jo bichadne ka irada bhi nahin hai

No comments:

Post a Comment

wel come