nahin nigah mein manzil toh justjuu hi sahi
nahin wisaal mayssar toh aarzu hi sahi
na tan mein khoon faraham na ashq aankhon mein
namaz-e-shaunq toh vajib hai, be-waju hi sahi
kisi tarah toh jame bazm, mai_kade walo
nahin toh baada-o-sagar toh ha-o-hu hi sahi
gar intzaar kathin hai, toh jab talak ae dil
kisi ke vaada-e-farda[kal k evade] ki guftgu hi sahi
dayaar-e-gaiir mein mahram nahin agar koi
toh faiz zikr-e-vatan apne ru-b-ru hi sahi
No comments:
Post a Comment