Sunday, June 14, 2009

faraz ki shayyiri

juz tere koi bhi din raat na jane mere
tu kahan hai magar ae dost purane mere
tu bhi khushbu hai magar mera tajsus bekar
barg-e-awara ki manind dikhane mere
shama ki lau thi ke vo tu tha magar hizr ki raat
der tak rota raha koi sirhane mere
khalq ki bekhabari hai ke meri ruswai
loq mujhko hi sunate hain fasane mere
lut ke bhi khush hun ke ashkon se bhara hai daman
dekh ghairat gare dil yeh bhi khazane mere
aaj ik aur baras beet gaya usske begaiir
jiske hote huye hote thay zamane mere
kash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere
kash tu bhi kabhi aa jaaye masihai ko
log aate hein bohat dil ko dukhane mere
kash auron ki tarhan main bhi keh sakta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere
tu hai kis haal mein ae zood-faramosh mere
mujhko toh cheen liya ahed-e-waffa ne mere
charagar yun toh bohat hain magar ae jaan-e-'faraz'
juz tere aur koi gham na jane mere

No comments:

Post a Comment

wel come