Saturday, July 4, 2009

bikharna tootna bhi aur anaa ke saath bhi rehna

bikharna tootna bhi aur anaa ke saath bhi rehna
sitam eijaad bhi karna, waffa ke saath bhi rehna
tera andaz aisa hai andheron ki kahani mein
Jalana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna
yahan toh shokhiyon ko apni zebaai se matlab hai
lahu mein bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna
ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se
ke ussko todna bhi aur sada ke saath bhi rehna haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, toh dil ko hai
khad-o-khaal-e-buutan mein bhi, khuda ke saath bhi rehna

No comments:

Post a Comment

wel come