Saturday, July 4, 2009

hamara kya hai ke ham toh charag-e-shab ki tarah

hamara kya hai ke ham toh charag-e-shab ki tarah
agar jale bhi toh bas itni roshani hogi
ke jaise tund andheron ki raah main jugnu
zara si der ko chamke, chamak ke kho gaye
phir usske baad kisi ko na kuch sujhai de
na shab kate na surag-e-sahar dikhai de
hamara kya hai ke ham toh pas-e-ghubar-e-safar
agar chale bhi toh bas itni raah tai hogi
ke taiz hawaaon ke zard maa’il naqsh-e-qadam
zara si der ko ubhre ubhar ke mit jaaye
phir usske baad na rasta na rahguzar mile
hadh-e-nigah talak dasht-e-be_kinar mile
hamari samt na dekho ke koi der mein ham
qabela-e-dil-o-jaan se juda hone wale hain
base basaaye huye shehr apni aankhon ke
misal-e-khana-e-viran ujadne wale hain
hawa ka shor yahi hai toh dekhte rehna
hamari umar ke kheme ukhadne wale hain

No comments:

Post a Comment

wel come