Saturday, July 4, 2009

taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal

taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal
saaz-e-waffa pe koi ghazal khwaan hai aaj kal
markaz bana hua hoon kisi ki nigaah ka
mujh par gham-e-hayat bhi aasan hai aaj kal
phir hain junoon nawaaz nigahon ki shokhiyan
maa'il ba'naaz deeda-e-janaan hai aaj kal
daanista phir kisi ki tawajjo hai iss taraf
barbadiyon ka phir koi samaan hai aaj kal
tajdeed-e-vaada haa-e-waffa chahta hoon main
phir shamma-e-ishq dil main farozaan hai aaj kal
vo meri kaiynaat-e-mohabbat se kya gaaye
duniya-e-aarzu meri viraan hai aaj kal
‘wajid’ kisi se phir hai umeed-e-waffa mujhe
phir aarzu-e-khwab pareshaan hai aaj kal

No comments:

Post a Comment

wel come