Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

main kahan dange-dare-yaar[stone of lover’s door] se tal jaunga
na vo pathar hai phisalna ki phisal jaung
aaj agar raah na paunga toh kal jaunga
kuchu’ye-yaar mein main sar hi ke bal jaunga
aql se keh do ki laaye na yahan apni kitab
main hun diwana abhi ghar se nikal jaunga
dil ye kehta hai kit u saath na le chal mujhko
ja ke main vaan tere qaabu se nikal jaunga
ja pada aag mein parwana dam-e-gharmiye-shaunq[prem-taap ke pal mein]
samjha itna bhi na kambakht ki jal jaunga
zumbishe-barg-sifat[patte ke hilne ki tarah] bag-e-jahan mein ae ‘zauq’
kuch na haath aaye toh main haath toh mal jaunga

No comments:

Post a Comment

wel come