Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

hum hain aur saaye tere kooche ki diwaaron ka
kaam zannat mein hai kya humse gunahgaaron ka
charkh[aasman] par baith raha jaan bachakar eesa
ho saka jab na mudawa[ilaaz] tere bimaron ka
be-siyahi na chala kaam qalam ka ae ‘zauq’
ruu-siyahi[badnami] sar-o-samaan hai siyahkaaron[paapi] ka

No comments:

Post a Comment

wel come