Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

tere haathon koi aawara ae gurdu[asman] na thhehrega
va’lekin tub hi gar chahe ki main thhehrun, na thhehrega
vo daulat kar talab jis se ki dil ho jaaye mustgani[without any wish]
agar haath aayega ganzina[khazana]-e-kaarun na thhehrega
gira hun chashm-esaaqi se, meri tasveer mein bhi gar
bana dega koi jaame-mai-gulgu’n na thhehrega
sare-baali[sarhane] isse humdam koi dam toh thhehrne de
abhi se kya kahun haal-e-dile-mehju’on na thhehrega
yahi hai dil ki betabi toh baad-az-marg[marne ke baad] bhi qatil
na thehra hai zamiin par aashiq-e-mehzu’on na thhehrega

No comments:

Post a Comment

wel come