Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

tune phir humko pukara sarphiri pagal hawa !
hum na aayenge dobara sarphiri pagal hawa !
log, phir nikle vo apne aanganon ko chod kar
phir wahi tera ishara sarphiri pagal hawa !
kab se aawara hai tumunhzor dariyaon ke beech
hai kahin tera kinara sarphiri pagal hawa !
mera khema le uddi thi tu kahan se, yaad kar
ye kahan ab la utara sarphiri pagal hawa !
teri aashufta-khirmi[vayakul chaal] ki ye aankhein, gard-e-raah
dil teri shokhi ka maara sarphiri pagal hawa !
sab darakhton se gira dun phal main farsh-e-khaaq par
de kabhi itna sahara sarphiri pagal hawa !
dhondh mein utre huye sab baam-o-dar, pesh-e-nazar[ankhon ke saamne]
kisne ye manzar ubhara sarphiri pagal hawa !
iss shab-e-zulmat[andheri raat] mein jo roshan teri raahon mein hai
bujh na jaaye ye sitara sarphiri pagal hawa !
hosh ki inn bastiyon se duur ab ‘makhmoor’ ko
tu kahan le chal khudara[khuda ke liye] sarphiri pagal hawa !

No comments:

Post a Comment

wel come