Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

nazron se sahilo’n[kinare] ke nazaare nihan[chhupe] huye
gehre samandaron mein safine[naav] ravaan huye
guzri tamaam umr khud apni talash mein
hum khud hi apni raah ke sange-giran[heavy stone] huye
tha humse tezgham bohat kaarwane-waqt
hum rafta-rafta garde-karwan huye
taabir[phal] ki talaash mein khud kho gaye hain hum
dekhe thay jitney khwab sabhi rayegaan[bekaar] huye
aaiina-e-nazar mein tha kin manzilon ka aks !
humko gubaare-raah pa’ kya-kya guman huye
‘makhmoor’ meri khanakharabi gawah hai
vo mere ghar mein aaye, mere mehmaan huye

No comments:

Post a Comment

wel come