Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

kahin pe gham toh kahin par khushi adhoori hai
mujhe mili hai jo duniya badi adhoori hai
tere khayal se roshan toh hain dilon ke uffak
jo tu nahin hai toh ye roshni adhoori hai
agar koi teri diwangi pe hansta hai
toh galiban[shayad] teri diwangi adhori hai
lahu ka rang bhi bhar dun ab usski chahat mein
vo keh gaya hai ki tasveer abhi dhoori hai
abhi nigah dar-o-baam ke tawaaf[parikarma] mein hai
abhi nigah ki awargi adhoori hai
hamare beech abhi aaya nahin koi dushman
abhi ye teri meri dosti adhori hai
ye qaynaat hai karnon[yugo] ka moziza[chamtkar] ‘makhmoor’
ye qaynaat magar aaj bhi adhoori hai

No comments:

Post a Comment

wel come