Friday, July 3, 2009

tujhse ab aur mohabbat nahin ki ja sakti

tujhse ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
khud ko itni bhi aaziyat nahin di ja sakti
jante hain keh yaqeen toot raha hai dil par
phir bhi ab tark-e-wehshat nahin ki ja sakti
habs ka shehr hai aur iss mein kisi bhi surat
saans lene ki sahulat nahin di ja sakti
roshni ke liye darwaza khula rakhna hai
shab se ab koi ijazat nahin li ja sakti
ishq mein hizr ka aazaar toh de rakha hai
iss se badh kar toh ray’aayat nahin di ja sakti

No comments:

Post a Comment

wel come