Thursday, July 16, 2009

unknown

dil na bas mein agar ho toh main kya karun ?
woh tera sang-e-dar ho toh main kya karun ?
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun ?
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun ?


mani hazaar mannatein, radd na hui bala-e-dil
meri tarah khuda kare tera kisi pe aaye dil

tu bhi jigar ko thaam ke arre kehta phire ke haaye-dil
dil na bas mein agar ho toh main kya karun

saari duniya mujhe kehti tera saudai hai
dil na bas main agar ho toh main kya karun

hai yaqinan chala ja raha hun khabar nahi ke kidhar ja raha hun
dil na bas mein agar ho toh main kya karun

laya ishq mein jo bhikari bane tere naqshe qadam ke pujaari bane
dil na bas main agar ho toh main kya karun

milna bas mein agar ho toh main kya karun
saamne tera ghar ho toh main kya karun

kaash mera ghar bhi tere ghar ke barabar hota
arre tu na aati teri aawaz to aaya karti
saamne tera ghar ho toh main kya karun

maine kaaba samajh ke jhukayi jabeen
woh tera sang-e-dar ho toh main kya karun

kufr mein bhi hum rahr qismat se imaan ki taraf
shukr hai kaaba bhi nikla tuu-e-jana ki taraf
woh tera sang-e dar-ho toh main kya karun

viana-e-kharab tha dil teri yaad mein
maamora-e-bahar-e-gul'afshaan bana diya
uss raaz ko jo qalb-e-azal[dil] mein na chupp saka
pinhaan[raaz] kiya toh paiker-e-insaan[insan] bana diya
zoq-e-yaqin-e-kufr ko imaan bana diya
jis dar pe jhuk gaye dar-e-jaana bana diya
woh tera sang-e-dar ho toh main kya karun

niyaz-e-ishq ko samjha hai tu kya waiz-e-naadan
hazaron ban gaye kaabe jabeen maine jahan rakh di
woh tera sang-e-dar ho toh main kya karun

maine kaaba samajh ke jhukayi jabeen
woh tera sang-e dar-ho toh main kya karun

unnke vaade pe mujhko bharosa to hai
zindagi mukhtasar ho to mein kya karoon

jalwa woh sar-e-baam dikhayin toh qayamat
parda rukh-e-anwar se uthayin toh qayamat
hain unnki ada'ein bhi zamane se nirali
aayein toh qayamat vo na aayein toh qayamat
unnke vaade pe mujhko bharosa toh hai

unnhone vaada kiya hai shab ko aainge
khuda kare kahin jaldi se shaam ho jaaye
unnke vaade pe mujhko bharosa toh hai

charaghon ko bujhaye kabhi parde giraye
shab-e-vaada khuda jaane hamen kya kya khayal aaye

baja hai tune vaada kar liya hai sham ko aane ka
saleeqa bhi yaqinan hai tujhe vada nibhane ka
main darta hun magar yeh zindagi dhoka na kha jaye
jo pal ho tere aane ka vo pal ho mere jaane ka
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun

luti hai aabru vaadon ki yun bhi
mashiyat dekh ke sharma rahi hai
udhar mera janaza ja raha hai
udhar unnki sawari aa rahi hai
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun

unnke vaade pe mujhko bharosa toh hai
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun

paida huye aazan hui, jab marre hui namaaz
itni si zindagi ka bhala kya kare koi
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun

shab-e-wasl kya mukhtasar ho gayi, idhar aankh jhapki sahar ho gayi
numaya hui subh-e-piire jigar bas ab daastan mukhtasar ho gayi
zindagi mukhtasar ho toh main kya karun

maine peene se tauba toh ki thi magar
badal ka rang dekh kar niyyat badal gayi

maine peene se tauba toh ki thi magar
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun


jaam mera tauba shikan, tauba meri jaam shikan
saamne dhair hain tuute huye paimano ke
maine peene se tauba to ki thi magar

saqiya! peene se tauba karun tauba ! tauba !!
maine duniya ke dikhane ko qasam khayi hai
maine peene se tauba toh ki thi magar

mujhpe na haram wale ho neele peele
kehti hai ghataein ke hateele peele
mai'khane mein pohcha jo kabhi main waiz
tauba ne kaha toot ke peele...

maine peene se tauba toh ki thi magar
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun


le ke sagar mein aaftab piyen
yeh samajh kar ke hai sawaab piyen
kufr hai naimaton ka thukrana
sheikh ji aayiye sharaab piyen
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

gir na jaaye sambhal kar de de
chasm-e-mai'boo khangaal ker de de
ras baharon ka naghme bulbul ke
mere sagar mein daal ker de de
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

mujhe naaz hai mai'kada mera ghar hai
mere jaam mein har haqiqat chhupi hai
mere saamne unn kitaabon ko laao
kahan sheikh ji ki nasihat chhapi hai
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

raat hai mahtaab hai saqi
sara mausam sharaab hai saqi
baaz lamhaat aise hote hain
jinn main piina sawab hai saqi
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

yunhi khana kharab rehne de
jaam mein aaftab rehne de
gham se ghabra gaya hoon main saqi
mujhko gharq-e-sharaab rehne de
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

maine piine se tauba toh ki thi magar
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

woh log nahi hain jinhen himmat par bharosa
ghabra ke piyenge kabhi tharra ke piyenge
dekhenge ke aata hai kidhar se kham-e-duniya
saqia tujhe hum saamne bitha ke piyenge
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

hum agar aaftab peete hain
aap kyun peech-o-taab peete hain
waiz-e-mohtaram sidhariye aap
rindh hain hum sharaab peete hain
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

brahaman jab hisaab dhoondte hain
sheikh saahib kitab dhoondte hain
apni apni talash hai pyaare
shaam ko hum sharaab dhoondte hein
mae'kada mera ghar ho to mein kya karun

meri nazar ko junoon ka payam de saqi
meri hayaat ko la'fani shaam de saqi
yeh roz roz ka piina pasand mujhe nahi
kabhi na hosh mein aaon vo jaam de saqi
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

mere naseeb mein hai mai'kade ki taariqi
hayat aur kahin bhi basar nahi hogi
pilaye ja mujhe saqi tamaam raat sharab
main jaam tod bhi doon toh sahar nahi hogi
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

kaise mabhood se baithe hein janaab-e-zahid
jaise pehle hi pehl aaye hain maikhane mein
ho jo das bees sharabi wo toh tauba kar lein
shahr ka shahr hai duuba hua maikhane mein
maa'kada mera ghar ho toh main kya karun

arre kyun qayamat se darata hai ae waiz
aati rehti hain shab-o-rooz yeh maikhane mein
yeh dhuwandhaar ghataein yeh karak bijli ki
khauff se chupp gayi tauba mere paimane main
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

kaise kehte ho tum yeh dagar chod doon
tauba kar loon main badanagar chod doon
mere ghar mein barasti hai mai har ghari
ab batao main kaise yeh ghar chod doon
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

kaif-o-masti ka dilkash nazar mai'kada
ehl-e-dil ka sukoon-e-jigar maikada
maikada mera ghar mera ghar maikada
maikada chod doon yani ghar chod doon
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

raat din zindagi ke aangan mein
aabjuu mastiyon ki behti hai
mera ghar maikade se kam toh nahi
mere ghar mein sharaa rehti hai
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

yeh khat mein he sadaye dil-e-dardmand hai
ek bewatan ka pyaar lifafe mein band hai
saqi sharab undel ke chatt jayen zulmatein
suraj ki roshni teri botal mein band hai
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

har ranj ko khafeef tabassum se taal de
naazil hai koi barq toh sagar uchal de
tu jaam mein sharab ko mat daal saqiya
issko barah-e-raast mere dil mein daal de

yeh surkh surkh botalein hein jo sharaab ki
raatein hain band inn mein hamare shabaab ki
ae Allah tujhse dua yehi hai baad marne ke
jo koi meri qabar ko dekhe wo qabar na kahe
balke kahen ke hai bhatti sharaab ki
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

nuskha bayaz-e-saqi-e-kausar se mil gaya
ghar baithe ab sharaab-e-tahoora banaunga
mai'kada mera ghar ho to mein kya karoon

maine piine se tauba toh ki thi magar
mai'kada mera ghar ho toh main kya karun

dil na bas mein agar ho toh main kya karun
saamne tera ghar ho toh main kya karun...

sung by ustand nusrat fateh ali khan

1 comment:

  1. Plz sir upload the lyrics of "haye kambakht tune pi hi nahi"

    ReplyDelete

wel come