main kisi aur ka hoon itna bata kar roya vo mujhe mehandi lage haath dikha kar roya umar bhar ki judai ka khayal aaya tha shahid vo mujhe paas apne der tak bitha kar roya khat, kitabein vo pyar ke tohfe mohbbat ki sab nishaniyan jala kar roya tumhari di hui sab cheezien utar lenge vo mujhe sez pe saje zevar dikha kar roya ab ke na sahi zaroor hashr mein milenge yakja hone ke dilase dila kar roya mujhse zayada bichadne ka gham usse tha waqt-e-rukhsat vo mujhe seene se laga kar roya
main kisi aur ka hun itna bata kar roya vo mujhe mehandi lage haath dikha kar roya mujhe anjaam-e-mohbbat nahin maloom tha hargiz ye kaha aur mujhe seene se laga kar roya jo mujhe zabat ke talkeen kiya karta tha vo zamane ko mera haal suna kar roya aansu ban ke na nikal jaaon issi darr se wasal ke akhri lamha jo mayassar tha hamen issi lamhe mein vo sadiyon ko sama kar roya vo mujhe mehndi lage hatth dikha kar roya
vo jalim meri har khwahish ye keh kar taal jaata hai disambar - janvary mein kaun nainitaal jaata hai abhi toh bewafai ka koi mausham nahin aaya abhi se udd ke kyun ye reshmi rumaal jaata hai wajaart ke liye hum doston ka saath mat chodo idhar iqbal aata hai udhar iqbal jaata hai munasib hai ki pehle tum bhi aadamkhor ban jaao kahin sansad mein khaane koi chawl-daal jaata hai ye mere mulak ka naksha nahin hai ek kaasa hai idhar se jo guzarta hai vo sikka daal deta hai agar sach bolne walon se khatra hai hukumat ko toh phir sun le hukumat haath se bangaal jaata hai mere maula mujhe sach baat kehne ka hunar de de tere dar se bhikhari ho ke maalamaal jaata hai muhbbat roz patthar se hamen insan banaati hai tasssub roz inn ankhon pe parda daal deta hai
jis tarah chahen qaram farmayiye dil mein rahiye dard bante jayiye sochiye toh husn kaafir kuch nahin dekhiye aur dekhte reh jayiye ho chuki taskeen kyun samjhyiye aap ko jana hai achcha jaayiye unnke ghar aur sirf unnke ghar jaayiye aur bin bulaye jayiye
kai gharon ko nigalne ke baad aati hai madad bhi shahr ke jalne ke baad aati hai najaane kaisi mehak aa rahi hai basti mein wahi jo duudh ubalne ke baad aati hai nadi pahadon se maidan mein toh aati hai magar ye barf pighalne ke baad aati hai ye jhuggiyan toh garibon ki khankahen hain kalandari yahn palne ke baad aati hai gulaab aise hi thode gulaab hota hai ye baat kaanton pe chalne ke baad aati hai shikayatein toh hamen mausham-e-bahaar se hai khizan toh phulne-phalne ke baad aati hai
hizr ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat wasi katra katra baras rahi hai ashqon ki barsaat wasi tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar denge khushbu ke des mein le chal mujhko saath wasi yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baithoge ? khamoshi se dam ghut-ta hai, chedo koi baat wasi aaj toh usska chehra bhi kuch badla badla lagta hai mausam badla duniya badli badal gaye halaat wasi mere ghar khushboo ka ye raqs ussi ke dam se hai uss ke saath chali jayegi phoolon ki barsaat wasi chod wasi ab usski yaadien tujhko pagal kar dengi tu qatra hai wo dariya hai dekh apni aukaat wasi
waffa ke vaade vo saare bhula gaya chup chap vo mere dil ki diwarein hila gaya chup chap gham-e-hayat ke tapte huye biyanbaan mein vo tanha chod ke mujhko chala gaya chup chap na jaane kaun sa vo badnaseeb lamha tha jo gham ki aag mein mujhko jala gaya chup chap main jis ko chuti hun ishrat vo zakhm deta hai vo phool aise chamn mein khila gaya chup chap waffa ke vaade vo saare bhula gaya chup chap vo mere dil ki diwarein hila gaya chup chap
mohbbat ab nahi hogi ye kuch din baad mein hogi sitare damakte hain kisi ki chashm-e-hairan mein mulaqatein jo hoti hain zamal-e-abr-o-baran mein ye na abad waqton mein dil-e-nashad mein hogi muhbbat ab nahi hogi ye kuch din baad mein hogi guzar jayenge jab ye din ye unnki yaad mein hogi
teri warfta nigahein teri bebaak ada main tere shaunq-tajasus ka sabab janta hun aur ye purlutf tabssum ki barsati boondien bekhabar sunta hoon harchand ke sab jaanta hoon main ke na_waqif-e-aadab-e-sukhan lagta hoon mujhko arza-e-takalluf bhi nahi ho sakti dekhne walon ko kuch aur nazar aata hai meri har saans amaanat hi kisi aur ki hai mujhse tum shonq ke azhaar ki koshish na karo mere atwaar-o-khad-o-khaal pe jaan deti ho main kisi aur ka hoon tum meri khwahish na karo
juda rehta hoon main tumse toh dil betaab rehta hai chaman se duur reh ke phool kab shaadaab rehta hai .... hazaron bastiyan aa jayengi tufaan ki zadd mein meri aankhon mein ik aansu nahin sailaab rehta hai badi mushkil se aate hain samjh mein lakhnau waale dilon mein fansle lab pe magar aadab rehta hai
mere munh par ye sunehra laal aanchal rehne de achcha lagta hai aankhon mein ye kaajal rehne de mere dil mein mat kar talaash ye duniya-daari mujhe dilli ka wahi aawara pagal rehne de apne iss dil mein mujhe jagah bhi na de ab mujhe wahi barsata, bhatkta, baadal rehne de chand roz baad bohat duur chala jaunga tujhse mere paas bhi fursat ke ek-do pal rehne de "bedil" maah-e-sitambar ki ye atthara taareekh hai kahan jayega tu ghar ko chod kar chal rehne de
hum bhi aankhon mein khoon dilon mein junoon rakhte hai dilli hi nahin pareshan saara dehra doon rakhte hai rona dhona ik tumhe hi nahin aata meri jaan hum bhi apni aankhon mein kai mansoon rakhte hai tum ho kahin ke bade naamcheen shayar toh kya hum kamron mein bandh tere jaise aflatoon rakhte hai "bedil" ke gusse ko parkhane ki himakat na kar tu shayad jaanta nahin hum aankhon mein khoon rakhte hain
tum bhi pareshan hum bhi pareshan dilli mein hum do hi toh dukhi hai insan dilli mein kisi bhookhe ko yahan koi roti nahi deta dil chotte aur bade hai makan dilli mein rishta banta nahi ki toot jaata hai pehle ishq ho ya dosti kuch nahi aasan dilli mein aate aate aaya khayal ye bhi tauba ki maut hai mehangi sasti hai jaan dilli mein yun toh hadse har raat hote hain 'bedil' magar bachte nahi subah unnke nishan dilli mein
mere peeche zamana pad gaya toh kahin sab se nibhana pad gaya toh ? jahan ik baar pagdi gir chuki hai ussi mehfil mein jana pad gaya toh ? jise luta tha sau haathon se humne khazana vo lutana pad gaya toh ? hamen hasne ki aadat hai ghamon mein khushi mein muskurana pad gaya toh ? dubone mein lage ho dusron ko kabhi khud ko bachana pad gaya toh ? jise tum bhool jana chahte ho usse sachmuch bhulana pad gaya toh ? na itna naaz kijiye dosti par kisi din aazmana pad gaya toh ? zara si aur paane ki hawas mein kahin sab kuch ganwana pad gaya toh ?
har kisi ki zuban par main hun satwein aasman par main hun reh gaye saare aasman peeche itni oonchi uddan par main hun kuch shikaari hain muntzir mere aur apni machaan par main hun zindgi ! dekh le uddasi ko aakhri payedaan par main hun aap toh khatam kar chuke thay hamen kya karun meharbaan ! par "main" hun peecha karta hai jis par aaina umar ki uss dhalaan par main hun