Showing posts with label wasi shah ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label wasi shah ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, January 5, 2010

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar denge

hizr ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat wasi
katra katra baras rahi hai ashqon ki barsaat wasi
tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar denge
khushbu ke des mein le chal mujhko saath wasi
yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baithoge ?
khamoshi se dam ghut-ta hai, chedo koi baat wasi
aaj toh usska chehra bhi kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat wasi
mere ghar khushboo ka ye raqs ussi ke dam se hai
uss ke saath chali jayegi phoolon ki barsaat wasi
chod wasi ab usski yaadien tujhko pagal kar dengi
tu qatra hai wo dariya hai dekh apni aukaat wasi

Saturday, June 20, 2009

wasi shah ki shayyiri

dayyar-e-gaiir mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jaata toh tujhe ganwa dete
tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh varna
dua vo karte ke hum aasman hila dete
hamen ye za'um raha ab ke vo pukarenge
unnhen ye zid thi ke har baar hum sada dete
vo tera gham tha ke taaseer mere lehje ki
ke jis ko haal sunaate usse rula dete
tumhen bhulana hi awal toh dastaras mein nahi
jo ikhtiyaar bhi hota toh kya bhulaa dete
tumhari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khayal ke aansu rahe sada dete
sama'aton ko main taa umar kosta 'syed'
vo kuch na kehte magar hont toh hila dete

Sunday, June 14, 2009

wasi shah ki shayyiri

abhi toh ishq mein aisa bhi haal hona hai
ke ashq rokna tumse mohaal hona hai
har ek laab pe hai meri waffa ke afsane
tere sitaam ko abhi lazawal hona hai
baja hai ke khaar hain lekin bahar ki ruut mein
yeh tai hai ke hamen bhi nehaal hona hai
tumhen khabar hi nahin tum toh loot jaaoge
tumhare hizr mein ik lamha bhi saal hona hai
hamari ruuh pe jab bhi azaab utrein hai
tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai
kabhi toh royega woh bhi kisi ki bhahon mein
kabhi toh usski hansi ko zawal hona hai
milegi humko bhi apne naseeb ki khushiyan
bas intzaar hai kab yeh kamal hona hai
har shaks chalega hamari rahon par
mohbbton mein humen woh misaal hona hai
zamana jis ke kham-o-peech mein uljh jaaye
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
'wasi' yaqeen hai mujhko woh laut ayega
usse bhi apne kiye ka milal hona hai

wasi shah ki shayyiri

apne ehsaas se chuu kar mujhe sandal kar do
main ke sadiyon se adhura hun mukmal kar do
na tumhen hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
iss qadar toot ke chaho, mujhe pagal kar do
tum hatheli ko mere pyar ki mehandi se rango
apni ankhon mein mere naam ka kaajal kar do
iss ke saaye mein mere khwab dehak uthenge
mere chehre pe chamkta hua aanchal kar do
dhoop hi dhoop hun main toot ke barso mujh par
iss qadar barso meri ruuh mein jal thal kar do
jaise sehraon mein har sham hawa chalti hain
iss tarah mujh mein chalo aur mujhe thal kar do
tum chhupa lo mera dil aut mein apne dil ki
aur mujhe meri nighaon se bhi aujhal kar do
maas'allah hun toh nighahen na churao mujhse
apni chahat se tawajoo se mujhe hal kar do
apne gham se har waqt mere sath rahe
ek ehsaan karo ussko musalsal kar do
mujhpe chha jao kisi aag ki surat jaana
aur meri zaat ko sukha hua jangal kar do

wasi shah ki shayyiri

baandh len haath pe seene pe saja len tumko
jii mein aata hai ke ta'aviz bana len tumko
phir tumhen roz sanwaren tumhen badhta dekhen
kyun na aangan mein chanbeli sa laga len tumko
jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldan mein phoolon sa saja len tumko
kya azab khahishen uth'ti hain hamare dil mein
kar ke munna sa hawaon mein uchhalen tumko
iss qadar toot ke tumpe hamen pyar aata hai
apni bahaon mein bharen maar hi daalen tumko
kabhi khwabon ki tarah aankh ke parde mein raho
kabhi khahish ki tarah dil mein bula len tumko
hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein duaon sa uthha len tumko
jaan dene ki ikaazat bhi nahi dete ho
varna mar jaayen bhi, mar ke mana len tumko
jis tarah raat ke seene mein hai mahtab ka noor
apne taarik makanon mein saja len tumko
ab toh bas ek hi khahish hai kisi mod par tum
humko bikhre huye mil jao, sambhalen tumko

wasi shah ki shayyiri

gungunate huye aanchal ki hawa de mujhko
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujhko
jis tarah faltu guldan pade rehte hain
apne ghar ke kisi kone se laga de mujhko
yaad kar ke mujhe takleef hoti hogi
ek qissa hun purana sa bhula de mujhko
duubte duubte aawaz teri sun jaaon
aakhri baar toh sahil se sada de mujhko
main tere hizr mein chup chap na marr jaaon kahin
main hun sakte mein kabhi aa ke rula de mujhko
dekh main ho gaya badnam kitabon ki tarah
meri tash'hiir na kar ab toh jala de mujhko
ruthna tera meri jaan liye jaata hai
aise naaraz na ho, hass ke dekha de mujhko
aur kuch bhi nahi manga mere maalik tujhse
usski galiyon mein padi khaak bana de mujhko
log kehte hain ke ye ishq nighal jaata hai
main bhi iss ishq mein aaya hun, duna de mujhko
yahi auqat hai meri tere jiwan mein ke main
koi kamzor sa lamha hun, bhula de mujhko

wasi shah ki shayyiri

tere gale mein jo bahaon ko daal rakhte hain
tujhe manane ka kaisa kamal rakhte hain
tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir
bohat se kaam muqaddar pe taal rakhte hain
koi bhi faisla hum soch kar nahi karte
tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain
tumhare baad ye aadat si ho gayi apni
bikharte sukhte pat'te sambhal rakhte hain
khushi si milti hai khudko aziyaten de kar
so jaan-bujh ke dil ko nidhal rakhte hain
kabhi kabhi vo mujhe hass ke dekh lete hain
kabhi kabhi mera behadh khayal rakhte hain
tumhare hizr mein ye haal ho gaya apna
kisi ka khat ho usse bhi sambhal rakhte hain
khushi mile toh tere baad khush nahi hote
hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain
zamane bhar se chhupa kar vo apne aanchal mein
mere wujood ke tukde sambhal rakhte hain
kuch iss liye bhi toh behaal ho gaye hum log
tumhari yaad ka behadh khayal rakhte hain

wasi shah ki shayyiri

jo usske samane mera ye khayal aa jaaye
toh dukh se aur bhi aseer-e-jamaal aa jaaye
mera khayal bhi gungru pehan kar nachega
agar khayal ko tera khayal aa jaaye
har ek shaam nayi aas par gadegi
hamare haath agar teri shaal aa jaaye
main apne gham ke hazane kaha chapawoga
ahar kahin se koi ander maal aa jaaye
innhi dino vo mere saath chai peeta tha
kahin se kash mera pichla saal aa jaaye
har ek baar naaye dhang se sajaaye tumhen
jo ekhteyar mein phoolon ki daal aa jaaye

Friday, June 12, 2009

wasi shah ki shayyiri

ajeeb hizr parasti thi usski fitrat mein
shajar ke tuute patte talash karta tha
tamam raat vo parda hata ke chand ke saath
jo kho gaaye hain wo lamhe talash karta tha
duayen karta tha ujde huye mazaron par
bade ajeeb sahare talash karta tha
mujhe toh aaj bataya hai badlon ne 'wasi'
vo laut aane ke raste talash karta tha

wasi shah ki shayyiri

jab vo shaks wasi mujhse khaffa ho jaaye
ek sunami mere seene mein bapa ho jaaye
dil mein phir kuch nahin hoga, khalaon ke siva
tu kisi roz agar mujhse juda ho jaye
vo bohat rakhta hai chahat ki namazon ka hisab
vo toh ek sajda na bakhshe jo qaza ho jaaye
taphkiyan de ke sulati hai teri yaad hamen
neend jis raat bhi ankhon se khaffa ho jaaye
ye taqaza hai mohabbat ki ibadat ka 'wasi'
ussko chuu lene se ek rukan ada ho jaaye

Thursday, June 4, 2009

wasi shah ki shayyiri

ye mera hausla hai tere bagaiir
saans leta hun baat karta hun

wasi shah ki shayyiri

teri jabeen pe likha tha ke tu bhula dega
so main bhi bhaanp gaya tha ke tu bhula dega
har ik shaks se ladta raha main tere liye
har ik ne mujhse kaha tha ke tu bhula dega
ye teri aankhoo pe halqe se pard gaye kaise
mujhe toh tune kaha tha ke tu bhula dega
nikaal laya hai ilzaam phir purane tu
ye humne tai bhi kiya tha ke tu bhula dega
kuch iss liye bhi ke ik tha teri ankho mein
mujhe toh tab bhi pata tha ke tu bhula dega

wel come