aaj bhi hain mere kadmon ke nishan awara
teri galiyon mein bhatakte thay jahan awara
tujhse kya bichhde toh ye ho gayi apni haalat
jaise ho jaaye hawaon mein dhuaan awara
mere sheron ki thi pehchaan ussi ke dam se
ussko kho kar huye benaam-o-nishan awara
jisko bhi chaha usse toot ke chaha 'raashid'
kam milenge tumhe hum jaise yahan awara
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label mumtaz rashid ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009
mumtaz rashid ki shayyiri
mujhse mera kya rishta hai, har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain, apna chehra bhool gaya
ab toh ye bhi yaad nahi hai farq tha kitna dono mein
usski baatein yaad rahi aur usska lehja bhool gaya
pyasi dharti ke honton par mera naam nahi toh kya
main vo badal ka tukda hun jisko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahe 'raashid' apni majboori hai
usski gali jab yaad aayi hai, ghar ka rasta bhool gaya

dard ki barish sahi madham, zara ahista chal
dil ki mitti hai abhi tak nam, zara ahista chal
tere milne aur phir tere bichad jane ke beech
fasla rusvaai ka hai kam, zara ahista chal
apne dil hi mein nahi hai usski mehrumi ki yaad
usski aankhon mein bhi hai shabnam, zara ahista chal
koi bhi ho humsafar 'raashid' na ho khush iss qadar
ab ke logo mein waffa hai kam, zara ahista chal

Subscribe to:
Posts (Atom)