
vo jalim meri har khwahish ye keh kar taal jaata hai
disambar - janvary mein kaun nainitaal jaata hai
abhi toh bewafai ka koi mausham nahin aaya
abhi se udd ke kyun ye reshmi rumaal jaata hai
wajaart ke liye hum doston ka saath mat chodo
idhar iqbal aata hai udhar iqbal jaata hai
munasib hai ki pehle tum bhi aadamkhor ban jaao
kahin sansad mein khaane koi chawl-daal jaata hai
ye mere mulak ka naksha nahin hai ek kaasa hai
idhar se jo guzarta hai vo sikka daal deta hai
agar sach bolne walon se khatra hai hukumat ko
toh phir sun le hukumat haath se bangaal jaata hai
mere maula mujhe sach baat kehne ka hunar de de
tere dar se bhikhari ho ke maalamaal jaata hai
muhbbat roz patthar se hamen insan banaati hai
tasssub roz inn ankhon pe parda daal deta hai
kai gharon ko nigalne ke baad aati hai
madad bhi shahr ke jalne ke baad aati hai
najaane kaisi mehak aa rahi hai basti mein
wahi jo duudh ubalne ke baad aati hai
nadi pahadon se maidan mein toh aati hai
magar ye barf pighalne ke baad aati hai
ye jhuggiyan toh garibon ki khankahen hain
kalandari yahn palne ke baad aati hai
gulaab aise hi thode gulaab hota hai
ye baat kaanton pe chalne ke baad aati hai
shikayatein toh hamen mausham-e-bahaar se hai
khizan toh phulne-phalne ke baad aati hai
juda rehta hoon main tumse toh dil betaab rehta hai
chaman se duur reh ke phool kab shaadaab rehta hai ....
hazaron bastiyan aa jayengi tufaan ki zadd mein
meri aankhon mein ik aansu nahin sailaab rehta hai
badi mushkil se aate hain samjh mein lakhnau waale
dilon mein fansle lab pe magar aadab rehta hai
lahu behta hua dekha toh peena choot jayega
mere jaisi ghazal mat keh pasiina choot jayega
tumhari bewaffai toh hamen manzoor hai lekin
tumhare saath rehne se madiina choot jayega
hamen ae maut thode din ki mohlat chahiye tujhse
nahin toh humse rozo ka mahina choot jayega
har ek awaaz ab urdu ko fariyaadi batati hai
yeh pagali phir bhi ab tak khud ko shezadi batati hai
kai baatein muhbbat sab ko buniyaadi batati hai
jo pardaadi batati thi vahi daadi batati hai
jahan pichle kai barson se kaale naag rehte hain
vahan ek ghonsla chidyon ka tha daadi batati hai
abhi tak yeh ilaaka hai ravadaari ke qabze mein
abhi firqaparasti kam hai abaadi batati hai
yahan viraaniyon ki ek muddat se hukumat hai
yahan se nafratein guzri hai barbaadi batati hai
lahu kaise bahaya jaaye yeh leader batate hain
lahu ka zayeka kaisa hai yeh khaadi batati hai
gulaami ne abhi tak mulaq ka peecha nahin choda
hamen phir qaid hona hai yeh azaadi batati hai
garibi kyun hamaare shehr se bahar nahin jaati
amiir-e-shehr ke ghar ki har ek shadi batati hai
main unn ankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai
har ek chehra yahan par gulaal hota hai
hamare shehr mein pathar bhi laal hota hai
main shohraton ki bulandi par ja nahin sakta
jahan uruuj[height] par pohncho zawaal[downfall] hota hai
main apne bachon ko kuch bhi toh de nahin paaya
kabhi kabhi mujhe khud bhi malaal hota hai
yahin se aman ki tableeg roz hoti hai
yahin pe roz kabutar halaal hota hai
main apne aap ko sayyad toh likh nahin sakta
azaan dente se koi bilaal hota hai
padoshion ki dukane tak nahi khulti
kisi ke ghaanv mein jab intekaal hota hai