Showing posts with label qamar jalalwi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label qamar jalalwi ki shayyiri. Show all posts

Saturday, May 30, 2009

qamar jalalwi ki shayyiri

ye keh kar diye meri qismat mein naale
tumhari amanat tumhare hawale
bas itani hai duuri ye manzil hai ye main hun
kahan aake phuute hain paaon ke chhale
karun aisa sajda vo ghabara ke keh den
khuda ke liye ab toh sar ko utha le
mariiz-e-shab-e-gham ki saans aakhiri hai
charag-e-sahar le raha hai sambhale
kabhi marr bhi chuka ae mariiz-e-muhbbat
pareshaan baithe hain ghar jaane wale
qayamat hain zaalim ki neechi nigaahen
khuda jaane kyaa ho jo nazaren uthale
'qamar' main hun mukhtar tanziim-e-shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujaale

wel come