Showing posts with label qamar ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label qamar ki shayyiri. Show all posts

Tuesday, June 23, 2009

qamar ki shayyiri

najaane kaun sa ab zulm reh gaya hai 'qamar'
dua vo mangte hain meri zindgi ke liye

Friday, June 12, 2009

qamar ki shayyiri

ye keh kar diye meri qismat mein naale
tumhari amanat tumhare hawale
bas itni hai duuri ye manzil hai ye main hun
kahan aa ke phuute hain paaon ke chhale
karun aisa sajda vo ghabara ke kah den
khuda ke liye ab toh sar ko utha le
mariiz-e-shab-e-gham ki saans aakhiri hai
charag-e-sahar le raha hai sambhale
kabhi marr bhi chuk ae mariiz-e-muhbbat
pareshan baithe hain ghar jaane wale
qaymat hain zaalim ki niichi nigahen
khuda jaane kya ho jo nazaren uthaa le
'qamar' main hun mukhtar tanziim-e-shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujaale

Monday, June 1, 2009

qamar ki shayyiri

phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste
aaiine ko haath se rakh do khuda ke vaste
kaba-e-dil ko na taako tum jaffa ke vaste
ae buuto ye ghar khuda ka hai khudaa ke vaste
yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun sa nazadiik hai rasta dua ke vaste
keh gaye kya dekh kar nabzon ko kya jaane tabiib
haath uthaaye hain azeezon ne dua ke vaste
tum bhi naam-e-khuda ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasman se mashvara kar lo jaffa ke vaste
mujhko uss mitti se khaaliq ne banaya hai "qamar"
reh gayin thi jo azal ke din waffa ke vaste

Saturday, May 30, 2009

qamar ki shayyiri

sab ka ehsaan uthane ki zaroorat kya hai
saath tum ho toh zamane ki zaroorat kya hai
dil se tai kar ke kisi roz allag ho jaao
chodna hai toh bahane ki zaroorat kya hai
kya hua uss se jo pehle sa talluq na raha
shehr ko chod ke jaane ki zaroorat kya hai !
masla dono ka hai tai bhi karenge dono
shehr ko beech mein laane ki zaroorat kya hai
khwahishen dil se nikal aayen toh hairat kaisi
inn parindon ko thikaane ki zaroorat kya hai
phool ko shor machate kabhi dekha hai 'qamar'
tum ho khusbu toh batane ki zaroorat kya hai ?

Tuesday, May 19, 2009

qamar ki shayyiri

muhbbat sar phiri khud hai, kahan mayaar dekhegi
hai iss ki zadd mein kis ka sar, kahan talwaar dekhegi
ye toh marzi hai suraj ki, bana de jis taraf saaye
kidhar chaaon zaroori hai, kahan dewaar dekhegi
khabar kiya ussko gulshan ki, saba ki, mushame-gul ki
jo khud deepak sa paikar hai, kahaan malhaar dekhegi
usse do aaiine aise, karen jo guftgu uss se
na_waqif husn se apne, kahan singhaar dekhegi
qamar fursat nahin ussko toh payal jhanjhnane se
hamare dil ke bajte hain kahan vo taar dekhgi

wel come