tera mujh pe ikhtiyaar baqi hai
dekho kaisa hisar baqi hai
koi chala gaya phir bhi
dil raste pe gubar baqi hai
ye khwab hai ya ehad koi
jiska mujh pe baar baqi hai
aankh mein dhuan sa rehta hai
aag ki koi pukar baqi hai
zindgi ki kadi pyaas mein 'sajid'
aur kis ka intizaar baqi hai