Showing posts with label jaun elia ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label jaun elia ki shayyiri. Show all posts

Thursday, July 2, 2009

zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka !

zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka !
qais toh apne ghar gaya kab ka !
aap ik aur neend le lijiye !
qafila kuch kar gaya kab ka !
dukh ka lamha azal [beginning of time] abad [end of time] lamha !
waqt ke paar utar gaya kab ka !
apna munh ab toh mat dikhao mujhe !
naaseho, main sudhar gaya kab ka !
nasha hone ka be_tarah tha tha kabhi !
par vo zalim utar gaya kab ka !
aap ab puuchne ko aaye hai ?
dil meri jaan ! marr gaya kab ka !

Wednesday, June 24, 2009

jaun elia ki shayyiri

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal di
kar liya tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal di

yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paighaam hain
per likhe hain maine jo auron ke naam
mere vo khat bhi tumhare naam hain

ye tere khat, teri khushbu, ye tere khawab-o-khayal
mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah
guzishta saal maine inhen gin ke rakha tha
kisi ghareeb ki jodi hui raqam ki tarah

kitne zaalim hain jo ye kehte hain
tod lo phool, phool chodo mat
baagbaan ! ham toh iss khayal ke hain
dekh lo phool, phool todo mat

hai muhabbat, hayaat ki lazzat
varna kuch lazzat-e-hayat nahin
kya izazat hai, ek baat kahun
vo….magar khair koi baat nahin

sharm, dehshat, jhijhak, parishaani
naaz se kaam kyun nahin leti
aap .... vo .... jii .... magar ...., ye sab kya hai
tum mera naam kyun nahin leti

saal'haa'saal aur ek lamha
koi bhi toh na inn mein bal aaya
khud hi ek dar pe maine dastak di
khud hi ladkaa sa main nikal aaya

Wednesday, June 10, 2009

jaun elia ki shayyiri

vo apne aap se bhi juda chahiye mujhe
usska jamaal usske siva chahiye mujhe
har lamha jii rahe hain dawa ke baghair hum
charagaron tumhari dua chahiye hamen
phir dekhiye ho harf bhi nikle zabaan se ek din
jo puuch baithe ke kya chahiye hamen
jaana nahin hai ghar se nikal kar kahin magar
har maah-ruu ke ghar ka pata chahiye hamen
muddat se hum kisi ko nahin de sake fareb
ae shehr-e-iltifaat waffa chahiye hamen
har aan akhiri hai magar usske ba-wjood
iss aan bhi yaqiin-e-fana chahiye hamen

jaun elia ki shayyiri

hum toh jaise yahan ke thay hi nahin
dhuup thay saayabann ke thay hi nahin
raste karwan ke saath rahe
marhale karwan ke thay hi nahin
ab hamara makaan kis ka hai
hum toh apne makaan ke thay hi nahin
innko aandhi mein hi bikharna tha
baal-o-par yahan ke thay hi nahin
uss gali ne ye sunke sabr kiya
jaane wale yahan ke thay hi nahin
ho teri khaak-e-aastan pe salaam
hum tere aastan ke thay hi nahin

Friday, June 5, 2009

jaun elia ki shayyiri

haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hi gayi
shauq mein kuch nahin gaya, shauq ki zindgi gayi
ek hi haadisa toh hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahin kahi gayi, baat nahin suni gayi
baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab samaan
yaad rahi teri yahan, phir teri yaad bhi gayi
usske badan ko di namuud[apperance] humne sukhan mein aur phir
usske badan ke vaaste ek qabaa[gown] bhi sii gayi
usski umeed-e-naaz ka humse ye maan tha ke aap
umar guzaar dijiye, umar guzaar di gayi
usske wisaal ke liye, apne kamal ke liye
haalat-e-dil, ke thi kharaab, aur khraab ki gayi
tera firaaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
yaani tere firaaq mein khoob sharaab pii gayi
usski gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gayi

Thursday, June 4, 2009

jaun elia ki shayyiri

abhi farmaan aaya hai vahaan se
ke hat jaaun main apne darmiyan se
yahan jo hai tanaffus hi mein kam hai
parinde udd rahe hain shaakh-e-jaan se
dareecha baaz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun pedon ki zabaan se
tha ab tak marka baahar ka darpesh
abhi toh ghar bhi jana hai yahan se
falaan se behtar thi ghazal falaan ki
falaan ke zakhm achche thay falaan se
khabar kya dun main shahr-e-raftugaan ki
koi laute bhi shahr-e-raftugaan se
yahi anjaam kya tujhko hawas tha
koi puuche toh meer-e-daastan se

jaun elia ki shayyiri

dil pareshan hai, kya kiya jaaye
aql hairaan hai, kya kiya jaaye
shauq-e-mushkil-pasand, unnka husuul[attainment]
sakht aasan hai, kya kiya jaaye
ishq-e-khuuban[love of beautiful ppl] ke saath hi hum mein
naaz-e-khuuban[pride of beautifuk ppl] hai, kya kiya jaaye
be-sabbab hi meri tabiyat-e-gham
sab se naalan[complaining] hai, kya kiya jaaye
bawjuud unnki dil-nawazi ke
dil gurezaan hai, kya kiya jaaye
main toh naqd-e-hayaat laaya tha
jins arzaan[cheap] hai, kya kiya jaaye
hum samjhte thay ishq ko dushvaar
ye bhi asaan hai, kya kiya jaaye
vo bahaaron ki naaz-parvardah
hum pe naazan hai kya kiya jaaye
misr-e-lutf-o-karam mein bhi ae 'jaun'
yaad-e-kinaan hai kya kiya jaaye


jaun elia ki shayyiri

ek hunar hai jo kar gaya hun main'
sab ke dil se uttar gaya hun main
kaise apni hassi ko zabt karun
sun raha hun ke ghar gaya hun main
kya bataun ke marr nahin paata
jeete ji jab se marr gaya hun main
ab hai bas apna saamna darpesh[to confront]
har kisi se guzar gaya hun main
voh hi naaz-o-ada, voh hi ghamze[amorous glances]
sar-ba-sar aap par gaya hun main
azab illzam hun zamaane ka
ke yahan sab ke sar gaya hun main
kabhi khud tak pahunch nahin paaya
jab ke vaan umar bhar gaya hun main
tum se jaanaan mila hun jis din se
be tarah, khud se darr gaya hun main
kuu-e-jaana[beloved'shome] mein sog barpaa hai
ke achanak sudhar gaya hun main

Monday, June 1, 2009

jaun elia ki shayyiri

halat-e-haal ke sabab, halat-e-haal hi gayi
shauq mein kuch nahin gaya, shauq ki zindgi gayi
ek hi haadisa toh hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahin kahi gayi, baat nahin suni gayi
baad bhi tere jaan-e-ja dil mein raha azab samaan
yaad rahi teri yahan, phir teri yaad bhi gayi
usske badan ko di namood hamne sukhan mein aur phir
usske badan ke vaste ek qaba bhi sii gayi
usski ummid-e-naaz ka hamse ye maan tha ke aap
umar guzar dijiye, umar guzaar di gayi
usske wisal ke liye, apne kamaal ke liye
halat-e-dil ke thi kharab, aur kharaab ki gayi
tera firaq jaan-e-ja aish tha kya mere liye
yaani tere firaaq mein khuub sharaab pii gayi
usski gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gayi

Saturday, May 30, 2009

jaun elia ki shayyiri

जब तेरी जान हो गई होगी
जान हैरान हो गई होगी
शब् था मेरा निगाह का बोझ उस पर
वो तो हलकान हो गई होगी
उसकी खातिर हुआ मैं खार बहुत
वो मेरी आन हो गई होगी
हो के दुश्वार जिंदगी अपनी
कितनी आसान हो गई होगी
बे_गिला हूँ मैं अब बहुत दिनों से
वो परेशां हो गई होगी
एक हवेली थी दिल मुहाले में
अब वो वीराँ हो गई होगी
उससके कुचे में आई थी शरीन
उसकी दरबान हो गई होगी
कमसिनी में बहुत शरीर थी वो
अब तो शैतान हो गई होगी

jaun elia ki shayyiri

jab teri jaan ho gayi hogi
jaan hairaan ho gayi hogi
shab tha mera nigaah ka bhojh uss par
vo toh halkaan ho gayi hogi
usski khatir hua main khaar bahut
vo meri aan ho gayi hogi
ho ke dushvaar zindgi apni
kitni aasaan ho gayi hogi
be_gila hun main ab bahut dino se
vo pareshan ho gayi hogi
ek haveli thi dil muhale mein
ab vo viraan ho gai hogi
usske kuche mein aayi thi shreen
usski darbaan ho gayi hogi
kamsini mein bahut shareer thi vo
ab toh shaitaan ho gayi hogi

Friday, May 29, 2009

jaun elia ki shayyiri

koi haalat nahin ye haalat hai
ye toh aasho'b'naak surat hai
anjuman mein ye meri khaamoshi
burdbaari nahin hai wahshat hai
tujhse ye gaah gaah ka shikva
jab talak hai basa-ganeemat hai
khwahishen dil ka sath chhod gayin
ye aziyat badi aziyat hai
log masroof jaante hain mujhe
yaan mera gham hi meri fursat hai
tanz pairaa-e-tabassum mein
iss takalluf ki kya zaroorat hai
hum ne dekha toh hum ne ye dekha
jo nahin hai vo khubsurat hai
vaar karne ko jaanisar aayein
ye toh eesaar hai inayat hai
garm-joshi aur iss qadar kya baat
kya tumhen mujhse kuch shikayat hai
ab nikal aao apne andar se
ghar mein saaman ki zaroorat hai
aaj ka din bhi aish se guzra
sar se paa tak badan salamat hai

Friday, May 22, 2009

jaun elia ki shayyiri

ek hi muzhdah[glad tiding] subh laati hai
sehn mein dhuup phail jaati hai
kya sitam hai ke ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
sochta hun ki uss ki yaad akhir
ab kisay raat bhar jagaati hai
uss vafaa-aashna[who know fidelity] ki furqat mein
khwahish-e-ghair kyun stati hai
kaun iss ghar ki dekh-bhal kare
roz ek cheez toot jaati hai

jaun elia ki shayyiri

hum apne aap pe bhi zaahir kabhi dil ka haal nahin karte
chup rehte hai, dukh sahte hain, koi ranj-o-malaal nahin karte
hum haar gaye tum jeet gaye, humne khoya tumne paaya
in jhoothi sachchi baaton ka hum koi khayal nahin karte
tere diwane ho jaate hain, kahin sehraaon mein kho jaaten hain
deewar-o-dar mein qaid humen agar ahl-o-ayaal[family member] nahin karte
teri marzi par hum raazi hain, jo tu chahe vo hum chahe
hum hijr ki fikar nahin karte, hum zikar-e-visaal nahin karte
hamen tere siva is duniya mein kisi aur se kya lena-dena
hum sab ko jawab nahin dete, humse sawal nahin karte
ghazlon mein hamari bolta hai vohi kaanon mein ras gholta hai
wahi bandh kivaad kholta hai, hum koi kamaal nahin karte

wel come