Showing posts with label rashid ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label rashid ki shayyiri. Show all posts

Friday, June 5, 2009

rashid ki shayyiri

samandar ko apna razdan samjha tha main
muqaddar ko apne meharban samajha tha main
chaand haatho mein hoga sitare qadmon mein
bas yahi mohabbat ka anjaam samjha tha main
mohabbat mein fateh kar jaunga iss jahan ko bhi
aah ! zamane ko kitna nadaan samjha tha main
vo kehte hain, na ab koi rishta rakh mujhse
jinn ki aashnai ko na-tamaam samajha tha main
kaise bhool jaaun uss nigaah-e-naaz ko
jisski be_adabi ko bhi salaam samjha tha main
ussi ne kiya hai bhari bazm mein ruswa mujhe
jisko apni haqiqat ka nigahban samjha tha main
tu na raund meri ulfat ke phoolon ko 'rashid'
tujhko toh iss gulistan ka baghban samjha tha main..

Tuesday, June 2, 2009

rashid ki shayyiri

main asmaan pe tha toh zamiin ki kashish tha woh
utra zamiin par toh hawa ho gaya woh shaks
padhta tha jise namaaz samjh ke main 'rasheed'
phir yun hua ki mujhse qaza ho gaya woh shaks

Monday, June 1, 2009

rashid ki shayyiri

yeh ejaaz[miracle]-e-mohabbat ki junun-khezi[madness] hai
main jo dil mein tere qadmon ke nishan dekhun
meri gustakh nigahi ka gila kyun 'rashid'
woh jahan tak mujhe keh den main wahan tak dekhun

Sunday, May 10, 2009

rashid ki shayyiri

mujhse mera kya rishta hai har ik rishta bhuul gaya !
itane aaine dekhe hain apna chehra bhuul gaya !
ab toh ye bhi yaad nahin hai fark tha kitna dono mein !
uss ki baatein yaad rahin aur uss ka lahaja bhuul gaya !
pyasi dharti ke hontho par mera naam nahin toh kya !
main vo baadal ka tukda huun jisko dariya bhuul gaya !
duniya wale kuch bhi kahe "rashid" apni majbuuri hai !
usski gali jab yaad aai hai, ghar ka rasta bhuul gaya !

wel come