tujhse bichad jaane ka tasvvur zehan mein jab bhi aata hai
saat samandar paar ka sapna sapna hi reh jaata hai
shab-e-judai hizr mein tere kaise guzarti hai humdam
dil mein khalish sii uthati hai aur soze-duroon badh jaata hai
ek anjana khauff sa taari ho jaata hai shab-e-firaq
jaane tu kis haal mein hoga soch ke dil ghabrata hai
kaifo-suroor-o-masti se sarshaar hai mera khaan-e-dil
meri samjh mein kuch nahin aata tujhse kaisa naata hai
hai teri tasveer-e-tasvvur kitni hasiin humdam mat puuch
aaja muzassam saamne mere kyun mujhko tarasta hai
tere dil mein mere liye hai koi na koi goshe-e-narm
yahi wajah hai dekh ke mujhko tu aksar sharmata hai
isski ghazalon mein hota hai ek tasalsul iss liye
rang-e-tagzzul ‘ahmad ali barqi’ ka sab ko bhata hai
nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Showing posts with label ahmad ali barqi azmi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label ahmad ali barqi azmi ki shayyiri. Show all posts
Wednesday, July 22, 2009
Tuesday, June 30, 2009
ahmad ali barqi azmi ki shayyiri
jab vo jalwanuma nahin hota
kya bataun main kya nahin hota
dil bohat hi uddas rehta hai
koi dard aashna nahin hota
nahin hota sukoon-e-qalb mujhe
usska jab aasra nahin hota
yaad aati hai usski sargoshi
jab bhi usska pata nahin hota
vahi rehta hai khana-e-dil mein
jab koi dosra nahin hota
iss qadar mujhse hai veh ab manuus
kabhi mujhse juda nahin hota
kijiye aap sab se husn-e-sulook
koi achcha bura nahin hota
todiye mat kisi ka sheesha-e-dil
kuch bhi iss se bhala nahin hota
asal mein hai yahi fasaad ki jadh
poora ahd-e-waffa nahin hota
nahin chubte kabhi yeh khaar-e-alam
dil agar phool sa nahin hota
usska teer-e-nazar nishane se
kabhi 'barqi' khata nahin hota
ahmed ali barqi aazmi
kya bataun main kya nahin hota
dil bohat hi uddas rehta hai
koi dard aashna nahin hota
nahin hota sukoon-e-qalb mujhe
usska jab aasra nahin hota
yaad aati hai usski sargoshi
jab bhi usska pata nahin hota
vahi rehta hai khana-e-dil mein
jab koi dosra nahin hota
iss qadar mujhse hai veh ab manuus
kabhi mujhse juda nahin hota
kijiye aap sab se husn-e-sulook
koi achcha bura nahin hota
todiye mat kisi ka sheesha-e-dil
kuch bhi iss se bhala nahin hota
asal mein hai yahi fasaad ki jadh
poora ahd-e-waffa nahin hota
nahin chubte kabhi yeh khaar-e-alam
dil agar phool sa nahin hota
usska teer-e-nazar nishane se
kabhi 'barqi' khata nahin hota
ahmed ali barqi aazmi
Monday, June 15, 2009
ahmad ali barqi azmi ki shayyiri
tawajjuh aapki kam ho na jaye
mizaj-e-yaar barham ho na jaye
jo hai shama-e-shabistan-e-mohbbat
kahin lau usski maddham ho na jaye
junoon-e-shauq mein mujhko yeh darr hai
khushi mein zam kahin gham ho na jaye
neshat-o-kaif-o-sarmasti ka saamaan
achanak bais-e-gham ho na jaye
nasheman barq ki zad mein hai mera
kahin yeh fasla kam ho na jaye
khamida pusht hai baar-e-geraan se
kahin yeh aur bhi kham ho na jaye
chalo 'ahmad ali barqi' yahan se
kahin duniya jahannum ho na jaye. .
mizaj-e-yaar barham ho na jaye
jo hai shama-e-shabistan-e-mohbbat
kahin lau usski maddham ho na jaye
junoon-e-shauq mein mujhko yeh darr hai
khushi mein zam kahin gham ho na jaye
neshat-o-kaif-o-sarmasti ka saamaan
achanak bais-e-gham ho na jaye
nasheman barq ki zad mein hai mera
kahin yeh fasla kam ho na jaye
khamida pusht hai baar-e-geraan se
kahin yeh aur bhi kham ho na jaye
chalo 'ahmad ali barqi' yahan se
kahin duniya jahannum ho na jaye. .
Friday, June 5, 2009
ahmad ali barqi azmi ki shayyiri
hote hain unnke naam se barpa mushaire
mayaar-e-shair unnki bala se gire gire
jo hain zamanh saaz woh hain aaj kamyaab
ahl-e-kamal goshah-e-uzlat mein hain pade
jinka rusookh hai unhen pehchante hain sab
hum dekhte hi reh gaye baahar khade khade
webiston pe log hain khush-fehmi ke sikaar
na aashna-e-haal hain hum saaye bhi mere
zinda thay jab toh unnko koi puchhta na tha
har daur mein milenge bohat aise sar phire
barqi sitam zareefi-e-halaat dekhiye
ab unnke naam par hai edaare bade bade
mayaar-e-shair unnki bala se gire gire
jo hain zamanh saaz woh hain aaj kamyaab
ahl-e-kamal goshah-e-uzlat mein hain pade
jinka rusookh hai unhen pehchante hain sab
hum dekhte hi reh gaye baahar khade khade
webiston pe log hain khush-fehmi ke sikaar
na aashna-e-haal hain hum saaye bhi mere
zinda thay jab toh unnko koi puchhta na tha
har daur mein milenge bohat aise sar phire
barqi sitam zareefi-e-halaat dekhiye
ab unnke naam par hai edaare bade bade
Subscribe to:
Posts (Atom)