Showing posts with label rashid kamil ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label rashid kamil ki shayyiri. Show all posts

Friday, May 29, 2009

rashid kamil ki shayyiri

kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi ashk ankh se dhal gaye
wo tumhare gham ke chiraag hain, kabhii bujh gaye kabhi jal gaye
main khayyal-o-khwab ki mehfile na baqadr-e-shauq saja saka
tumhari ik nazar ke saath hi mere sab iraade badal gaye
kabhi rang mein kabhi roop mein, kabhi chhaav mein kabhi dhoop mein
kahin aftaab-e-nazar hain wo, kahin mahtaab mein dhal gaye
jo fanaa huye gham-e-ishq mein, unnhe zindagi ka na gam hua
jo na apni aag mein jal sake vo paraai aag mein jal gaye
ya unnhe bhi meri tarah junoon toh phir unn mein mujh mein ye farq kya
main giraft-e-gham se na bach saka, wo hudood-e-gam se nikal gaye

rashid kamil ki shayyiri

dard ka hadd se guzarna toh abhi baaki hai
toot kar mera bikharna toh abhi baaki hai
paas aake mera dukh-dard baatnewale
mujhse katra ke guzarna toh abhi baaki hai
chand sheron mein kahaan dhalti hai ehasas ki aag
gham ka ye rang nikharna toh abhi baaki hai
rang-e-ruswaai sahi, shehr ki diwaron par
naam 'rashid' ka ubharna toh abhi baaki hai

wel come