kya kya baatein woh apni tehrir mein likhti hai
ek mayi taqdeer meri taqdeer mein likhti hai
woh aisi humdard ke apne pyar ke saare alfaaz
mere haathon ki ek ek lakeer mein likhti hai
koi raaz chupana shayad pasand nahi usse
woh apna har khwab khuli tabeer mein likhti hai
main usska ek mann chaha qaidi huun issi liye
naam mera woh zulfon ki zanjeer mein likhti hai
bol uthe ek ek ta'assur usske chehre se
saari kahani woh apni tasveer mein likhti hai
khuub chehakti hai vo khat ke pehle hisse mein
lekin dil ki sachchi baat akhir mein likhti hai
jis khuubi se pehchana jaaye koi shaks "ehsaan"
qudrat woh khuubi usske khuun-e-khameer mein likhti hai