Showing posts with label saeed rahi ki shayyiri. Show all posts
Showing posts with label saeed rahi ki shayyiri. Show all posts

Sunday, June 21, 2009

saeed rahi ki shayyiri

mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhen ho jayega
diwaron se sar takraoge jab ishq tumhen ho jayega
har baat ganwara kar loge mannat bhi utara kar loge
tabiizen bhi bandhwaoge jab ishq tumhen ho jayega
tanhai ke jhule khulenge har baat purani bhulenge
aaiine se tum ghabaraoge jab ishq tumhen ho jayega
jab suraj bhi kho jayega aur chand kahin soa jayega
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jayega
bechaiini badh jayegi aur yaad kisi ki aayegi
tum mere ghazlein gaaoge jab ishq tumhen ho jayega

Saturday, June 20, 2009

saeed rahi ki shayyiri

dost ban ban ke mile mujhko mitane wale
maine dekhe hain kai rang badalne wale
tumne chup rehkar sitam aur bhi dhaya mujh par
tumse achche hain mere haal pe hansne wale
main toh ikhlaq ke hathon hi bika karta hoon
aur honge tere baazar mein bikne wale
akhri daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir na lautenge shab-e-hizr pe rone wale

Thursday, June 4, 2009

saeed rahi ki shayyiri

tum nahin gham nahin sharab nahin
aisi tanhai ka javaab nahin

Sunday, May 31, 2009

saeed raahi ki shayyiri

kya jaane kab kahan se churai meri ghazal
uss shokh ne mujhi ko sunayi meri ghazal
puchha jo maine usse ke hai kaun khush-naseeb
aankhon se muskuraa ke lagayi meri ghazal
ek-ek lafz ban ke udaa tha dhuan-dhuan
ussne jo gunguna ke sunai meri ghazal
har ek shaks meri ghazal gungunaayen hai
‘rahi’ teri zubaan pe na aayi meri ghazal

Tuesday, April 28, 2009

saeed rahi ki shayyiri

main toh akhlak ke haathon hi bika karta hun
aur honge tere bazaar mein bikne waale

Tuesday, March 17, 2009

saeed rahi ki shayyiri

आख़री बार सलामे-दिले-मुज़्तर ले लो,
फिर न लौटेंगे शबे-हिज्र के रोनेवाले

saeed rahi ki shayyiri

pichle baras tha khauf kahin khud ko kho na doon.
ab ke baras duaa hai mujhe mang le koi ?

saeed rahi ki shayyiri

aankh se aankh mila baat banata kyon hai
tu agar mujhse khafa hai toh chhupata kyon hai
gaiir lagta hai na apnon ki tarha milta hai
tu zamane ki tarha mujhko satata kyon hai
waqt ke sath haalat bhi badal jate hain
ye haqiqat hai magar mujhko sunata kyon hai
ek muddat se jahan qaafle guzre nahi
unn rahoon pe chiraghon ko jalata kyon hai

wel come